Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaMusalmanoun ko masjid ki zarurat nahi : Saleem Khan

Musalmanoun ko masjid ki zarurat nahi : Saleem Khan

Mumbai: Bollywood super star Salman Khan ke walid Saleem Abdul Rashid Khan ne kaha hai ke musalmanoun ko masjid ki zaroorat nahi hai.

Supreme Court ki janib se Babri masjid ka faisla Mandir ke haq mein sunanay ke baad producer aur  Script writer Saleem Khan ne kaha hai ke musalmanoun ko masjid ki zaroorat nahi hai aur 5 Acres zameen par masjid ke bajaye musalmanoun ke liye school banana chahiye.

Saleem Khan ne kaha ke Hindustan ke musalmanoun ko Masjid ki nahi balkay school aur taleem ki zaroorat hai kyunkay namaz to hum kahin bhi padh sakte hain, jahaz mein, train mein, zameen par kahin bhi padh lenge. unhon ne kaha ke Hindustan ke musalmanoun ko behtar schools ki zaroorat hai, agar 22 crore Hindustani musalmanoun ko taleem mileygi to iss se Hindustan ki bohat si khamiyan door hojayengi.

Bharat ke Musalman Ayodhya ke tanaze par baat nahi karna chahtay hai, wo apne bunyadi masail ke baray mein baat karna chahtay hai aur aman ke liye hal nikalna chahtay hain, Saleem Khan ney kaha ke isi wajah se mein ney ye mashwara diya hai ke 5 acres zameen par masjid nahi banai jaye balkay school, dawakhana aur college taamer kiye jayen.

Unhon ne kaha ke hamaray Nabi Hazrat Mohammad sallalahu aleyhi wasallam ne irshad farmaya ke Islam ki 2 khoobiyan mohabbat aur maghfirat hai, lehaza musalmanoun ko inn 2 faziltoun par qayam rehna chahiye, mohabbat zahir kijiye, maaf kijiye aur sab kuch bhool kar agay badhen.

Saleem Khan ne kaha ke Ayodhya tanaze ke faislay ke baad bhi Hindustan mein aman qayam hai jisay dekh kar bohat khushi hui hai aur mein dil se Supreme Court ke is faislay ko qubool karta hon. wazeh rahay ke haftay ko Supreme Court ki janib Babri Masjid-Ram mandir tanaze ka faisla sunaayaa gaya tha jo Ram Mandir ke haq mein tha jabkay musalmanoun ko masjid ki taamer ke liye 5 acres araazi faraham karne ki Hidayat bhi di gayi hai. –YTN STAFF