Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsMusalmanoun ko darpesh challenges ke liye Muslim mumulk ka ittehaad na guzeer

Musalmanoun ko darpesh challenges ke liye Muslim mumulk ka ittehaad na guzeer

Riyadh: Saudi Arab ke farman rawa Shah Salman Bin Abdul Aziz ne kaha hai ke ummat ko darpesh challenges ke hal ke liye muslim mumulk mein ittehaad na guzeer hai jabkay masla Kashmir sameit tamam tanazeaat ko mazakraat ke zariye pur aman tor par hal kiya jana chahiye. Speaker qaumi Assembly Asad Qaiser ki sarbarahi mein parliamani wafad ne Saudi Shahi mehal mein Shah Salman se mulaqaat ki. Mulaqaat mein dotarfah taluqaat, Muslim ummah ko darpesh challenges aur bahami dilchaspi ke umoor par tabadlah khayaal kiya gaya.

Pakistani wafad mein speaker qaumi Assembly sameit hakoomati o oppostion jamaatoun se talluq rakhne walay arkaan shaamil they. Mulaqaat mein is baat par ittafaq kiya gaya ke muslim ummah ko darpesh challenges aur tanazeaat ke hal ke liye mushtarqa lahe amal ikhtiyar kiya jana chahiye. Asad Qaiser ne Saudi farman rawa ko Kashmir ki sorat e haal se aagah karte hue kaha ke maqboza Kashmir mein 141 dinoun se jari curfew ki wajah se maqboza waadi mein maloomat zindagi buri terhan maflooj ho chuke hain aur is sorat e haal ki wajah se maqboza waadi mein khoraak aur adwiyaat ki shadeed qillat hai.

Unhoun ne kaha ke Pakistan Saudi Arab ke sath apne tareekhi baradarana taluqaat ko badi ahmiyat deta hai aur Saudi Arab Pakistan ka sacha dost aur mukhlis bhai hai. Unhoun ne kaha ke Pakistan ke awam, Saudi Arab aur harmien Alshrifen ke khadmin ke sath gehri dili wabastagi rakhtay hain jabkay Pakistan parliamani aur iqtisadi shobo mein taluqaat ko farogh day kar dotarfah taawun ko mazeed farogh dena chahta hai.

Shah Salman Bin Abdul Aziz ne Pakistani wafad se guftagu karte hue kaha ke ummat ko darpesh challenges ke hal ke liye muslim mumulk mein ittehaad na guzeer hai, Khittay mein aman aur muslim mumulk mein ittehaad ke liye Pakistan ka kirdaar qabil tehseen hai. Unhoun ne kaha ke masla Kashmir sameit tamam tanazeaat ko mazakraat ke zariye pur aman tor par hal kiya jana chahiye jabkay Saudi Arab masla Kashmir ka aqwam mutahidda ki qrardadoun ke mutabiq pur aman hal chahta hai. Pakistan Islami duniya ka ek ahem mulk hai, Is ki taamer-o-taraqqi ke liye Saudi Arab har mumkin taawun jari rakhay ga.

Wazeh rahay ke Shah Salman ka muslim mumulk mein ittehaad ka ye bayan guzashta haftay munaqqid hone wali Kuala Lumpur conference ke baad samne aaya hai. Conference mein 52 mulkoun ke musalman rehnuma, Danishwer , Scolar aur mufakreen ne shirkat ki jabkay 19 decemeber ko sarbrahan mumlikat ka ijlaas munaqqid huva jis mein muslim ummah aur Islami mumulk ko darpesh masail ka hal nikaalte ki koshisho par ghhor kiya gaya.

Taham Pakistan ne Saudi Arab aur mutahidda Arab amarat ke tahaffuzaat ke sabab Malaysia mein munaqqid hay 4 roza conference mein shirkat se moazirat karli thi. Doosri janib Saudi Arab ne ijlaas mein shirkat na karne ki wajah bayan karte hue kaha ke pauney 2 Arab musalmanoun ke ahem masail par guftagu ke liye ye summit ghalat forum hai, Taham chand mahireen ka maanna hai ke Saudi Arab ko khatrah hai ke Iran , Turkey aur Qatar jaisay ilaqai hareef usay muslim duniya mein tanha kar denge. –YTN STAFF