Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaMusalmanoun ko bhi shehriat di jaye: Prasanna Acharya

Musalmanoun ko bhi shehriat di jaye: Prasanna Acharya

New Delhi: Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) par Parliament mein hukoomat ki haami Biju Janata Dal ( BJD ) ke Rajya Sabha Leader Prasanna Acharya

ne kaha ke mutanazia qanoon ke talluq se awam ko andesha hai aur hukoomat ko usay daur karna chahiye taakay ghair Islami mumalik ke musalmanoun ko bhi is qanoon ke tehat shehriat di jani chahiye.

Dehli mein huve fasadaat par Rajya Sabha mein behas ke douran Acharia ne kaha ke Parliament mein khuwa un ki Party ne is qanoon ki himayat ki thi lekin ab is talluq se andaishay zahir kiye ja rahay hain aur CAA ko hi un fasadaat ki ahem wajah mana ja raha hai. Unhoun ne kaha ke un ki party ki tajweez hai ke hukoomat ko Muslim firqay ko thodi chhuut dena chahiye aur ghair Islami mulkoun ki aqliati Musalmanoun ko is qanoon ke tehat mulk ki shehriat di jani chahiye. Unhoun ne kaha ke Ye koshish honi chahiye ke is terhan ke fasadaat dobarah na hon.

Fasadaat ke darparda saazish ke hukoomat ke daaway par unhoun ne kaha ke phir sarkari Machinery is ka pata kyun nahi laga payi. Ye khufia Agencies ki nakami hai. Hukoomat ko is ki bhanak kyun nahi lagi aur ahteyati tadabeer kyun nahi kiye gaye. Nafrat angaiz bayanaat aur taqareer karne waloun ko giraftar kyun nahi kiya gaya.

Shiromani Akali Dal ( SAD ) ke Naresh Gujral ne bhi kaha ke hukoomat ko CAA aur NPR ke silsilay mein phelnay walay khadshaat ko daur karna chahiye. Unhoun ne kaha ke awam mein dar ka mahol hai aur hukoomat ko usay daur karne ke liye foran iqdaam karna chahiye. Fasadaat ko Delhi ki tareekh mein yomِ e siyah qarar dete huve unhoun ne kaha ke Police ki khamoshi ne ek baar phir 1984 ke fasadaat ki yaad dila di. Unhoun ne kaha ke ye raaz khilna chahiye ke aaghaz kis ne kiya. Ghair janebdarana aur shafaaf tehqiqaat hona zurori hai. –YTN STAFF