Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaMusalmanoun ke khilaaf Hindustani Media ki jehaad ke naam par jung

Musalmanoun ke khilaaf Hindustani Media ki jehaad ke naam par jung

Hyderabad: Is waqt Hindustani Media Islam aur Musalmanoun ke khilaaf jis terhan samaaj mein nafrat phela rahe hai wo sab par ayaan hai aur mulk ki yakjahti, Salamiyat, Taraqqi aur tabanak mustaqbil ke tanazur mein asal dushman un ki ye mutassbana soch hi hai. Aeye din koi na koi bahana aisa talaash kiya jata hai jis se Musalmanoun aur Islam ko nishana banaya jaye. Is koshish ka ek aur taaza tareen saboot India Today Channel ke News Editor Rahul Kanwal hai jis ne Madaris ko Hindustan mein Coronavirus ke phelanay ke marakaz saabit karne ki napak koshish ki hai. Rahul Kanwal ke khilaaf sargaram karkun Kavita krishnan ka Video un dinoun kaafi maqboliat haasil kar raha hai jis mein unhoun ne madrassa Hotspot ko nishanah banaya hai.

Hindustani Media is waqt apni jo ahem zimma daari hai is wo nahi nibha raha hai aur wo zimma daari sahaafat hai. Dar haqeeqat aaj bohat kam loog sahaafat ki zimma daari imandari se poori kar rahay hain. Media ki aksariyat to sirf Hindustan ke Musalmanoun ko nishanah bana kar mulk ko Hindu Muslim nafrat ki aag mein jhonknay ka kaam kar rahi hai. Zee News, Aajtak se le kar Network18 tak ke Channels har khabar mein lafz jehaad thoonsna pasand karte hain. Corona jehaad, Zameen Jehaad, Love Jehaad, Arthek Jehaad, aur kiya na jaanay konse konse jehaad unkay paas mojood hain lekin is jhoot ke bar aks agar sajjayi ko talaash karen to aaj koi muqaddas jung lad raha hai to wo ye Hindustani Media hai jo Hindustani Musalmanoun aur Islam ke khilaaf jehaad ladh raha hai.

Saal 2014 Hindustan ek badi tabdeeli ka saal tha. Sirf is liye nahi ke Narendra Modi bhaari aksariyat ke sath Wazeer e Azam banay balkay is liye ke Hindustani Media ne ek naya rukh a ektiyar kiya. Is se qabal tak Hindustani Media ju haq uski tarjamani karna aur haqayiq ka payambar tha. Aaj ka News Media, Khaas tor par Prime Time mubahisay, Intahi wehshiana, Ekhlaqiaat se aari cheekh pukaar se kuch ziyada nahi hain.

Sahaafat ab khatray se dochar hai aur jo kaam is ke naam par phail raha hai wo kaarobar hai. Musalmanoun aur deegar aqlitoun ke khilaaf taasub aur nafrat ki khuli numayesh ke sath ye kaam anjaam diye jarahay hain. Ye na sirf ishtihari bazaar ya badmaash ke zareya apna nazreen ka marakaz mein tabdeel hochuka hai balkay ye Hindoustan ke nijaat dahinda ke tor par dikhaane ke liye hukmaran Bhartia Janata Party ( BJP ) ke mafaad ko poora karne ka Alla kar ban chuka hai.

BJP ki andhi himayat aur usay mulk ku nijaat dahinda zahir karne ke alawa Hindustani Media ka dosra rukh islamophobic ka tashheer ka markaz hai. Tableeghi Jamaat ka sazeshi mazmoon har Media Channel dekha raha hai wo un afraad ko Hindustani se ziyada Pakistani saabit karne ka koshan hai. Is ke alawa Musalmanoun ko Daesh ke karkun aur Jehaad ke haami zahir karne ke alawa, Halal, Talaq Salasa, Gaaye ka gosht khanay walay zahir karne mein koi kasar nahi choadi aur ab Musalmanoun ko jaan boojh kar Hindustan mein Coronavirus phelanay walay afraad ke tor par zahir kiya ja raha hai jis ke liye ek aur intahi badbakht aur mujremana saazish Madarsoun ko Coronavirus ke phelnay ke Marakaz ke tor par pesh karne ki koshish ki gayi hai.

Yaqeenan har Media House aisa nahi hota hai. Kuch loog sachaai aur tafteesh ke tarjuman ban’nay ki koshish karte hain. Lekin Media ek badi sarmaya kaari ki sanat hai. Usay paisoun ki zaroorat hai, Khaas tor par lakhoun ki tadaad mein sarfeen ke sath shandaar HD miyaar ke Channels ya ashaatoun ka muqaabla karne ke liye inhen aisi giri huvi harkatoun ka ghulam banadiya hai. –YTN STAFF