Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadMusalman Secularism ke Coolie nahi ban sakte : Asad Owaisi

Musalman Secularism ke Coolie nahi ban sakte : Asad Owaisi

Hyderabad : Kul Hind majlis-e-ittehaad-ul-muslimeen ke sadar wo rukan-e-parliament Hyderabad Asaduddin Owaisi ney BJP ko tanqeed ka nishana banatay hue kaha ke BJP hukoomat Hindustan ke musalmanoun ko dosray darjay ka shehri banana chahti hai, aur Hindustan ke musalmanoun ko iska ehsas nahi hai.

Unhon ney kaha Hindustan ke musalmanoun ko yeh samjhna chahiye ke hum Secularism ke Coolie nahi ban sakte. hamara vote naam Nehad Secular partiyon ko kyun jana chahiye? Musalmanoun ko apni baradri mein siyasi qiyadat talaash karni chahiye.

Unhon ney muslim tabqa se kaha ”Barah-e-karam apni qayadat tashkeel den. apne aap ko badlein, kyunkay koi aasman se jannat mein le janay ke liye nahi aayega. aap ko mehnat se kaam karna hoga. Musalmanoun ko yeh ehsas karna hoga ke jamhoriat mein woh nah sirf vote daalnay ke liye mojood hain, balkay woh qayadat karne ke liye bhi tayyar hain.

Asad Owaisi ney kaha ke ”Isse koi farq nahi padta hai ke aaj woh haar gaya ya kal woh haar jayega, lekin Musalmanoun ko jarehana tor par apne aaeni huqooq ka istemaal karne aana chahiye. –YTN STAFF