Tuesday, October 15, 2024
HomeIndiaMuqtalif Marathas aur hunar par mabni taleem ko urdu zuban mein farogh...

Muqtalif Marathas aur hunar par mabni taleem ko urdu zuban mein farogh dene ka faisla

New Delhi: Muqtalif Marathas aur hunar par mabni taleem ko urdu zuban mein farogh dene ke liye qaumi council barai farogh urdu zuban ne ehum faisla kiya hai jiske tehat central board of secondary education (CBSE) ke saath milkar nisabi kitabon ke urdu tarjume aur urdu aksariyati ilaaqon mein unki tarseel ka ehtemaam Kiya jayeiga. Yeh ittela qaumi urdu concel ke director shaikh Aqeel Ahmed ne aaj CBSE ke training and skall education ke director biswajit Saha aur Deputy secretary Shomi sarkar ke saath ijlas ke baad kahi.

Unho ne kaha ke ijlas mein yeh tai paya ke counsil aur CBSE ke mabain ek tehreeri yaad dasht tayyar ki jayeigi aur uski roshni mein mazeed iqdamat kiye jayeinge. Unho ne kaha ke hamara maqsad hai ke urdu ke tulaba ko bhi School education Marathas par mabni taleem de kar unhe hama jehat salahiyaton se laise kiya jaye taake woh challenges ka asani se muqabla kar sakein aur amli duniya mein aane ke baad unke saamne ek se zyada mutabadil ho. Qaumi urdu concel ke zariye CBSE ki shaya shuda school education se mutalliq kitabon ka marhala war urdu zuban mein tarjuma karwa kar unhe Hindustan ke alawaa urdu ki nayi bastiyon tak bhi pohunchane ka ehtemaam kiya jaye.

Shaikh Aqeel ne kaha ke maujooda daur almi woh amli musabiqa aarai ka daur hai jis mein kamiyabi hasil karne ke liye ek se zyada almi woh amli shobe mein iqtesas aur maharat ki zaroorat hain. Is maqsad ke paish e nazar hum ne yeh paish raft ki hai aur is se yaqeenan urdu tulaba woh talibaat ki paishe warana istetad saazi aur sertification ki raahe humwar hongi qabil e zikr hai ke is simt mein amli qadam utate huwe jammu o Kashmir mein shuroo hone wale 6 months papers mishi course ke liye CBSE ki work book ka urdu tarjuma qaumi urdu concel ke research auhdedar shahnawaz muhammad Khurram ke zariye tayyar karwaya gaya hain.