Friday, May 17, 2024
HomeIndiaMumkin hai …. Mumkin hai …. Mumkin hai …. Priyanka Gandhi ki...

Mumkin hai …. Mumkin hai …. Mumkin hai …. Priyanka Gandhi ki takarrur par awam ke pur josh naaray

Aaj jo khamosh rahega wo buzdil kehlaye ga

New Delhi: Hindustan ki siyasat aur mulk ke secular awam shayad jis ghadi ka taweel arsa se intzaar kar rahay they wo shayad aaj Delhi ke Ram Leela maidan mein wo intzaar khatam huva kyunkay yahan munaqidah ek rally se Priyanka Gandhi ne sheheriyat bill qanoon ke khilaaf jis andaaz mein khitaab kiya is mein anjahani wazeer-e-azam aur Priyanka ki dadi Indira Gandhi ki jhalak deekhaee day rahi thi aur awam Priyanka ke jumloun par pur josh andaaz mein’ ‘ Mumkin hai, Mumkin hai, Mumkin hai’ ‘ ke naaray buland kar rahay they.

Delhi ke Ram Leela maidan mein’ ‘ Bharat bachao Rally’ ‘ se khitaab karte hue congress general secretary Priyanka Gandhi ne kaha ke hamara mulk kiya hai, Ham usay kin takatoun se bachana chahtay hain sawal udhta hai ke hamara mulk aakhir hai kiya? Ye mulk ek ajeeb tehreek azaadi se ubhar kar samnay aaya hai. Is mulk ne duniya ke sab se baday saamraaj ko shikast di hai. Ye mulk mohabbat aur adam tashadud ka mulk hai. Ye ek kisaan ka lehrata huva mulk hai. Achhai aur sachey khowaboon ka mulk hai. Ye har hindustani ko barabari, Azaadi aur jamhoriat ki taaqat dainay wala mulk hai. Hamein aaj is mulk ko bachana hai, Kyunkay mulk par ek aisi hukoomat ka qabza hai jahan azaadi nahi bachi hai.

Priyanka Gandhi ne mazeed kaha ke mein logoun se ye kehna chahti hon ke Kashmir se lekar Kanyakumari tak, Hahan tak meri aawaz poanch rahi hai, Apne mulk ke ek ek shehri se kehna chahti hon ke apni aawaz uthayein. Aaj hum agar apni aawaz nahi uthayein ge, Khamosh rahen ge to dekhte dekhte baba sahib ka inqalabi aeen tabah ho jaye ga. Aaj jo khamosh rahay ga wo buzdil kehlaye ga.

Congress general secretary ne apni baat agay bedhate hue kaha ke ek daur mein chain se bhi teezi ke sath hamaray mulk ki maeeshat agay badh rahi thi. Mulk mein baday baday kaam hue. Lekin aaj BJP ki 6 saal ki badshahat ke baad rozgaar ghatt rahay hain, GDP zameen doze hai, Mehengai badh gayi hai. Sabhi kaarkhanoun ka kaam ghatt raha hai. Chhota tajir nakaam GST se nabard aazma hai. Doosri taraf se aap se kaam chinna ja raha hai. Is ke bawajood BJP ke ishtihar mein dekhaya ja raha hai ke Modi hai to mumkin hai. Mein kehna chahti hon ke BJP hai to 100 rupay fi kelo pyaaz mumkin hai. BJP hai to be rozgari mumkin hai. BJP hai to 15 hazaar kisanon ki khudkushi mumkin hai. Bhajpa hai to railway ki bekri mumkin hai.

Priyanka Gandhi ne kaha ke kuch din pehlay mein Avadh ke kisaan ke ghar gayi. Unki omar mere waalid se kuch kam thi.Zaraat ke sath sath wo lohaar ka kaam karte they. Note bandi ke baad un ka kaam band ho gaya. Unka ek beta tha aur 5 saal ki beti. Note bandi se peda halaat ke sabab unke betay ko ghar chhodna pada. Is darmain unki beti ke sath esmatraizi huvi. Juraim pesha ka jan-nay wala tha, Lekin is ka muqadmah darj nahi kiya gaya.

Juraim pishon ne bachi ke waalid ko petta aur unka khait jala dala, Phir bhi wo haar nahi maani. Phir muamlay ki samaat ke douran juraim pishoun ne usay jala diya. Ye bata kar bachi ke waalid ronay lagey aur is waqt mujhe apne waalid ki yaad aayi. mere waalid ka khoon is matti mein mila hai. Is kisaan ki beti ka khoon bhi is mulk ki matti mein mila huva hai. Ye mulk hamara hai, Usay tabahi se bachana hamara maqsad hai.

Modi hukoomat ke zareya laaye gaye shehriat tarmeemi qanoon ko tanqeed ka nishana banatay hue Priyanka Gandhi ne kaha ke hum mulk ko bachana chahtay hain. Ye mulk mohabbat aur bhai chaaray se bana hai. Ye mulk azaadi ki tehreek se bana hai. Sab ko barabari dainay wala mulk hai. Ye mulk mohabbat aur bhai chaaray ka hai. Takseem karne walay qanoon se mulk ko khatrah hai. –YTN STAFF