Wednesday, May 22, 2024
HomeSliderMumbai qualifier mein Delhi ke khilaaf Futuhat ki khwahan

Mumbai qualifier mein Delhi ke khilaaf Futuhat ki khwahan

Dubai: Difai champion Mumbai indians aur Delhi capitals ke mabain jumaraat ko khele jane walay pehlay qualifier se IPL 13 ki pehli khitabi muqablay ki team ka faisla hoga aur dono teamen final mein pohanchanay ke liye apni tamam tar koshisen karengi.

4 martaba ki faateh Mumbai ne 14 matchon mein 9 Futuhat aur 18 nishanaat ke sath 8 teamon ki fehrist mein pehla maqam haasil kiya jabkay Delhi ne 14 matchon mein 8 Futuhat aur 16 nishanaat ke sath dosray number par hai. Mumbai aur Delhi ke mabain pehlay qualifier ki faateh team 10 November ko final mein pohanchegi jabkay harnay wali team 8 November ko dosray qualifier mein eliminator faateh team ka saamna karegi.

Mumbai ne sab se pehlay playoff mein apni jagah yakeeni banai thi lekin woh apna aakhri league match sun risers hyderabad se 10 wicketon se harkr pehlay qualifier mein khailaygi. Doosri janib Delhi ne apne aakhri league match mein royal challenger bangalroe shikast di aur woh jeetnay walay hauslay ke sath qualifier mein daakhil hogi.

Mumbai ko apni IPL ki tareekh mein teesri martaba 10 wicketon ki shikast ka saamna karna pada aur Mumbai ke captain Rohit sharma ne shikast ke baad aiteraaf kia keh unki team ke liye din acha nahi tha aur team Delhi ke khilaaf muqablay mein wapas aayegi. Mumbai ne hyderabad ke khilaaf apne teen star Jasprit bumrah, Hardik pandya aur trent boult ko aaram diya tha aur ye teeno khiladi qualifier mein wapas ayenge jis se Mumbai team mazboot hogi.

Delhi janti hai ke Mumbai apni saari taaqat ke sath intehai mazboot hai aur usay shikast dena mushkil hai. Is baar dono teamon ka apna pehla match abu dhabi mein tha jis mein Mumbai ne 5 wicketon se kamyabi haasil ki thi. dono teamon ke darmiyan dosra match Dubai mein hua jis mein Mumbai ne 9 wicketon se kamyabi haasil ki .

Rawan league mein Mumbai ka Delhi ke khilaaf Futuhat ka recored sad feesad hai aur agar Delhi ko raast final mein jagah banani hai to iske khiladion ko qualifier mein aakhri league match ki karkardagi barqarar rakhni hogi. Delhi ki umeeden ek martaba phir pichlle match mein nisf century bananay walay shikhar dhawan par rahengi jabkay ajinkya rahane ki form mein wapsi Delhi ke hauslay mazboot rakhay gi. Rahane ne guzashta match mein season ki pehli nisf century score ki thi.

Delhi capitals ke captain sheryas iyer ne kaha ke hum tournament ki behtareen teamon mein se ek hain aur hamein bunyadi baton par qaim rehne ki zaroorat hai aur agar hum apne mansoobon par amal-dar-aamad karte rahay to yaqeenan is ke Khushgawar nataij bar aamad honge.

Bangalore ke khilaaf Delhi ki jeet mein faisla kin kirdaar ada karnay walay man of the match fast bowler nortje ne kaha hai ke baaz auqaat choti choti cheeze bhi aap ko behtar bananay mein Muawin saabit hoti hain. Nortje ne chaar overs mein 33 runs par teen wickten haasil karkay team ki kamyabi mein kaleedi kirdaar ada kiya.

Norjte ne kaha ke mein ne mutadid bar kaha hai ke yeh sirf bunyadi cheeze theek rakhnay ki baat hai kisi khaas khiladi ki karkardagi ka muzahira karne ki tarhan nahi. choti choti cheeze aap ko is match mein behtari laane mein madad karti hain aur mera khayaal hai ke ek martaba jab aap un choti choti cheezon ko theek kar letay hain to aap apni form dobarah haasil karlete hain.

Delhi ke head coach ricky Ponting ne kaha ke khiladion ne apna hosla barqarar rakha jiski wajah se team aakhri league match jeet kar IPL table mein dosra maqam haasil kar saki. unhon ne kaha ke khiladi is hauslay ko barqarar rakhenge aur qualifier mein bhi shaamil honge.