Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaMumbai mein school ke tulaba corona se mutasir Telangana mein tashweesh ki...

Mumbai mein school ke tulaba corona se mutasir Telangana mein tashweesh ki lehar

Hyderabad: Telangana mein ab jabke school ki kushadgi ka faisla kiya gaya lekin padosi riyasaton se mayoos kun khabrein aarahi hain jaisa ke Maharashtra mein school ki kushadgi ho chuki hain lekin is ke saath hi tulaba ka corona se mutasir hona ka bayis hain. Jaisa ke Mumbai mein ek school mein 95 tulaba ke corona mauena ke liye RTCP artist kiya gaya is ke baad 22 tulaba coronavirus se mutasir paye gaye aur school ki imaarat ko hukkam ki jaanib mohar band kar diya gaya hai.

Riyasat Telangana mein hukoomat ki jaanib se 1st September se schools ki kushadgi ka faisla kiya gaya hain aur kaha jaaraha hai ke classes mein tulaba ki shirkat ko laazmi qaraar diya jayeiga lekin Mumbai ki is khabar ne walidain ko pareshan kar diya hain. Junoobi Mumbai ke boarding school ke tulaba mein coronavirus ki alamat paye jaane ke baad unke muaena ka faisla kiya gaya aur barhin Mumbai muncipal corporation ki jaanib se school ke 95 tulaba ka RTPCR test kiya gaya jis ke natayej ne hukkam ko pareshan kar diya hai.

Jin mein 22 tulaba ko coronavirus ki tauseeq huwi aur unhe muqtalif dawaqano mein shareek karwaya ja chuka hain. Tafseelat ke mutabiq in mein 4 tulaba aise hain jin ki umer 12 saal se kam hai aur unhe kisi tarha ke oxygen ki zaroorat nahi hain lekin iske baujood unhe shehar ke nayer hospital muntaqil kiya gaya hain taake unka behtar ilaaj ho sake. Daree asnaa 12 ta 18 saal umer ke 12 tulaba coronavirus se mutasir paye gaye hain. Jinhe covid care center richard son mein shareek kiya gaya hain jaha unki dekh baal ki jaarahi hain.

Neez 18 saal se zyada umer ke 6 tulaba hai Jinhe coronavirus ki tauseeq huwi hai aur un tulaba ku quarantine ki muddat ki takmeel aur ilaaj ke liye krudas company ke ehata mein maujood covid care center mein shareek kiya gaya hain. Riyasat Maharashtra ke alawa kerala mein corona virus ke mareezon ki badhti huwi tetaad ko dekhte huwe markazi hukoomat ki jaanib se diye gaye mashware mein kaha gaya hain woh soorat e haal par khaboo paane ke liye mutasira ilaqon mein raat ke karfiyu ke nifaaz ke silsile mein iqdamat ka jaiza lein.