Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaMumbai mein 26 / 11 ko hue dehshat gardanah hamlay ke aaj...

Mumbai mein 26 / 11 ko hue dehshat gardanah hamlay ke aaj 11 saal mukammal

New Dehli: 26Novermber 2008 ko mulk ke tijarti markaz Mumbai mein kiye gay dehshat gardanah hamloun ke aaj 11 saal mukammal ho rahay hain. 26 November 2008 ki raat Mumbai mein is waqt khauf-o-hraas phail gaya, Jab Pakistan ke 10 kalashnkofoun ne Hindustan ke tijarti dar-ul-hukoomat par hamla kiya. Bek waqt 5 maqamat par hamla kiya gaya aur mutadid ghair mulki shehrioun sameit 166 afraad faut ho gay they. jabkay 300 se zayed shehri zakhmi hue they.

Dehshat gardi ke is afsoosnaak waqeye mein halaak honay walay afraad mein Mumbai Police ke ek darjan se zayed ahelkaar bhi shaamil they. Sath hi un silsila waar hamloun mein ATS ke sabiq chief Himant karkare o deegar afsaraan ne bhi apni jaan gavayi thi.

Wazeh ho ke 26 November 2008 ko dehshat gardoun ne Mumbai ke Taj Krishna Hotel sameit 6 maqamat par hamla kiya tha. is hamlay mein 166 afraad apni zindagi se haath dho baithy they. Unhoun ne jin maqamat par hamla kiya tha enmen, 2 Luxury Hotels. Obroi Trident Hotel aur Taj Mehal Pilace aur Tower Hotel, ek yahodi saqafati markaz, Nariman mein waqay Chabad House, Chhatrapati Shivaji  Terminal Railway Station waghera shaamil hain. Ziyada tar logoun ki mout Chhatrapati Shivaji  Terminal Railway Station par hui, Jabkay Taj Mehal Hotel mein dehshat gardoun ke hathon 31 afraad halaak ho gaye.

Chhatrapati Shivaji  Terminal hamlay ka pehla maqam tha. subah 9:20 bajey ke qareeb Qassab aur ek Pakistani dehshat gard ne station par mojood logoun ke hujhoom par andha dhund firng kar di. Ye hamla 90 Minute tak jari raha, Jis mein 58 afraad halaak aur 100 se zayed zakhmi ho ye they .

dosra hamla takreeban 8:10 Minute baad, Yahodi abadi ke Lebreach markaz mein Nariman House ke karobari Complex mein kiya gaya, Is hamla karne se pehlay dehshat gardoun ne ek Gas Station ko dhamakay se odha diya. Unhoun ne 3 din ke muhasray ke douran Rabbi, Is ki ahliya aur 5 Israeli mughvioun ko halaak kiya.

Raat 9:40 ke qareeb, 4 dehshat gardoun ne mashhoor Leopold Cafe par hamla kiya. jis mein 10 loog maaray gaye. Askriat pasandoun ne 2 Texis mein bhi Bomb lagaye they, Jis mein 5 afraad halaak aur 15 zakhmi hue they. Is ke baad woh Taj Mehal aur Tower Hotel mein gaye.

Dehshat gard baazu ke darwaza ko toad kar Hotel mein daakhil hue. Unhoun ne pehlay pehlay Swimming pool par hamla kiya aur phir Bar and Restaurant mein daakhil hue aur Grenade se goli chalani shuru kar di. Unhoun ne 4 din ke muhasray mein takreeban 31 afraad ho halaak kiya.

Taj Mehal Hotel ke markazi gunbad ke neechay askriat pasandoun ne bhayanak firing ki, Aur baad mein unhoun ne balai manzil par hamla kiya. Aur Obroi Trident Hotel par do askriat pasandoun ne hamla kiya, Jo ek Restaurant ke zareya Hotel mein daakhil hue they unhoun ne hujhoom par firing kar di aur baad mein Hotel se chalay gaye.

CST Railway Station par hamla karne ke baad, Qassab aur is ke saathi Ismail Khan ne kama Hospital ko nishana banaya. Wo hospital ke uqbi darwazay tak puhanche, Lekin Hospital ke choksi amlah ne tamam darwazay band kar diye. Un dono afraad ne Hospital ke bahar Police Team par hamla kiya, Jis mein ATS ke sarbarah Himant karkare samait 6 afraad halaak hogaye.

Un hamloun ke doran Security forces aur dehshat gardoun ke darmain 60 ghantoun tak jharap chalti rahi. aur hamaray mulk ke Security Forces ne jawabi karwai karte hue hamla awaroun ko maar giraya. ATS ke sarbarah Himant karkare ne apni jaan ki par wah nahi ki aur dehshat gardon ka muqaabla karte hue, Logoun ki jaan bachatey hue shaheed ho gaye

Mumbai ke is dehshat gardanah hamla ki zimma daari dehshat gard tanzeem Lashkar Tayyiba ne li thi. 10 hamla awaroun ne jadeed hathyaaroun aur dasti Bombs ke zareya is hamlay ko injaam diya tha, Hamla ke baad ek dehshat gard Ajmal Qassab ko zindah pakda gaya tha. Is ke khilaaf 3 mah mein ilzamaat saabit ho gay aur ek saal baad is hamlay mein mulawis David Colman Headley ne 18 March 2010 ko apna jurm qubool kar liya. Ajmal Qassab ko 21 November 2012 ku Pune ki Yerawada Jail mein phansi day di gayi. –YTN STAFF