Sunday, April 20, 2025
HomeSliderMumbai ki Playoff aur Punjab ki baqa par tawajah

Mumbai ki Playoff aur Punjab ki baqa par tawajah

Dubai: Difai Champion Mumbai Indians ki team jis ne musalsal 5 mein kamyabi haasil ki hai woh itwaar ko Kings XI Punjab ke khilaaf match mein IPL ke Playoff mein apni davidari mazboot karne utre gi jabkay Punjab ka hadaf apni umedon ko barqarar rakhna hoga. Mumbai ne pichlle Match mein Kolkata Knight Riders ku 8 wickets se shikast day kar Tournament mein lagataar panchwin kamyabi apne naam karli jabkay Punjab ne karo ya maro ke match mein Royal Challengers Bangalore ke khilaaf 8 Wickets se kamyabi haasil ki thi. Mumbai 8 matches mein 6 jeet aur 2 shikaston ke sath 12 points ke sath table mein sare fehrist hai, Jabkay Punjab ki team 8 Matches mein 2 jeet, 6 shikast ke sath 4 aur points table mein aathween maqam par hai.

Agar Mumbai ki team Punjab ke khilaaf kamyabi haasil karli ti hai to aakhri 4 mein pohanchna taqreeban yakeeni hojaye ga jabkay Punjab ke liye ab ek bhi shikast is ka Playoff mein pounchanay ka khawab tood sakti hai. Punjab ke paas 6 match baqi hain aur aakhri 4 tak pounchanay ki umedon zindah rakhnay ke liye sabhi match jeetnay hon ge. Mumbai ne Kolkata ke khilaaf zabardast karkardagi ka muzahira kiya aur batting aur bowling dono shobo mein kolkata ko be bas kiya tha. Mumbai ko Punjab ke khilaaf apni form ko barqarar rakhna hoga kyunkay pichlle match mein Punjab ke batting order ne behtar karkardagi ka muzahira kiya tha.

Punjab ke samnay Quinton de Kock, Rohit Sharma, Surya Kumar Yadav, Kieron Pollard aur Hardik Pandya challenge hoga jo shandaar form mein hain aur musalsal behtareen muzahira kar rahay hain. Punjab ke bowlers ko Mumbai ko rokna hoga jis se woh bada score nah bana sakay. Punjab ki taraf se captain KL Rahul aur Mayank Agarwal par team ko ek martaba phir mazboot shuruvaat dilanay ki zimma daari hogi. Mumbai ko Chris Gayle ko rokna hoga jinhon ne Bangalore ke khilaaf pehlay hi muqablay mein 53 runs ki Inning kheli hai. Punjab ko bowling mein islaah ki zaroorat hai. Punjab ke paas is muqablay mein jeet haasil karkay pichli shikast ka badla lainay ka behtareen mauqa hoga.