Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderMumbai ke khilaaf Hyderabad ki qismat khiladion ke haath mein

Mumbai ke khilaaf Hyderabad ki qismat khiladion ke haath mein

Sharjah: IPL 13 ka aakhri League match mangal ko Mumbai Indians aur Sunrisers Hyderabad ke mabain khela jana hai aur yeh match Playoff ki baqi 2 teams ki qismat ka faisla kere ga. Mumbai ki team pehlay hi Playoff mein pahonch chuki hai aur woh 18 nishanaat ke sath Point Table mein pehlay maqam par mojood hai. Mumbai ki team chahay gi ke woh apni kamyabi ki muhim is match mein jari rakhay aur woh jeet ke sath pehlay qualifier mein khailay.

Hyderabad ke liye aar paar ke jung hai aur un ke liye sirf isi soorat mein Playoff mein jana mumkin hoga jab woh kamyabi haasil karte hain lekin aakhir mein net run rate faisla kun kirdaar ada kere ga Hyderabad ko is match mein jeet ke sath sath apne run rate par bhi nazar rakhni hogi. 3 teams Chennai Super Kings, Kings XI Punjab aur Rajasthan Royals ke safar IPL mein khatam hogaya hai. Punjab chhatay, Chennai satwen aur Rajasthan aathween number par hai. Tenu teams ne fi kis 12 nishanaat haasil kiye lekin un ke maqamat run rate ki bunyaad par tay kiye gayeen.

Delhi Capitals aur Royal Challengers Bangalore ke mabain match mein harnay wali team mangal ko Hyderabad aur Mumbai ke mabain honay walay match ke nateejay ka intezaar kere gi. Kolkata Knight Riders bhi mangal ke match par nazar rakhay gi. Agar mangal ko Hyderabad ki team kamyaab hojati hai to phir tenu teams ke 14 nishanaat ho jaien ge aur 2 teams net run rate ki bunyaad par Playoff mein pahonch jayen gi. Agar Hyderabad ki team muqaabla gawati hai to Bangalore. Delhi Match aur Kolkata Knight Riders ki shikast khorda Team Playoff mein pahonch jaye gi. Is ka matlab yeh hai ke Playoff ki sansani league match ke aakhri din tak barqarar rahay gi.

Hyderabad ne apne aakhri match mein Royal Challengers Bangalore ko 5 wickets se shikast day kar Playoff ki umedon ko barqarar rakha. Bangalore ku 7 wicketon par 120 runs ke mamooli score par roknay ke baad Hyderabad ne 14.1 over mein 5 wicket par 121 run banakar aasaan fatah haasil karli. Is kamyabi ne Hyderabad ke hauslay buland kiye hain kyunkay is ka run rate badh gaya hai jabkay Playoff mein hissa lainay wali deegar teams ka run rate manfi mein hai.

Hyderabad ke Captain David Warner ne aetmaad ka izhaar kiya ke un ki team Mumbai Indians ke khilaaf agla match bhi jeet jaye gi lekin Hyderabad ko aisi team ke khilaaf behtareen karkardagi ka muzahira karna hoga jis ki batting aur bowling dono mein zabardast taaqat hai. Match dilchasp hoga aur hatmi nateejay tak tenu teams ki sansen ruki rahen gi.