Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaMumbai ke alawa 3 shehar 31 March tak band

Mumbai ke alawa 3 shehar 31 March tak band

Mumbai: Mulk bhar mein Coronavirus ke mareezoun ki tadaad lagataar badh rahi hai. Hindustan mein ab tak taqreeban 210 se ziyada loog is Virus se mutasir hochuke hain. Hindustan mein Maharashtra ek aisi riyasat hai jahan Corona se sab se ziyada loog mutasir huve hain. Mareezoun ki badhti tadaad ko dekhte huve Maharashtra hukoomat ne 4 shehroun ko Lockdown karne ka faisla kiya hai. Lekin is douran Medical Store aur ahem dukanoun ko khulay rakhnay ki ijazat di gayi hai. 4 shehroun ko Lockdown karne ka ye hukum 31 March tak ke liye hai.

Is Lockdown ki jankari Maharashtra ke Chief Minister Uddhav Thackeray ne di. Unhoun ne kaha ke hum ne Mumbai, Pune, Nagpur aur MMR halqoun ko 31 March tak Lockdown karne ka faisla kiya hai, Lekin rashan o sabzi ki dukanain aur dawai ki dukanain khuli rahen gi. Is ke alawa zurori khidmaat bhi jari rahen gi. Halaank hukoomat ne kaha hai ke logoun ko bohat ziyada ghabranay ki zaroorat nahi hai.

Behar haal 31 March tak ghair zurori samanoun aur sharaab ki dukanain, Mall sameit kayi idaray band rahen ge. Uddhav Thackeray ne kaha hai ke poori duniya logoun ko ghar mein rehne ki salah day rahi hai is liye loog bohat zurori kaam se hi baher nikleen aur ju kam ghar mein reh kar husakta hai, Usay ghar par hi karen. Sath hi unhoun ne ye bhi kaha ke sarkari dafatir ko poori terhan se band nahi kiya jaye ga, Lekin yahan 25 feesad haazri hi rahay gi.

Coronavirus ke badhatay asraat ko dekhte huve Dehli hukoomat ne bhi sabhi Malls ko band karne ka hukum sader kardeya hai. Dehli ke Chief Minister Arvind Kejriwal ne kaha ke mojooda halaat ko dekhte huve hum sabhi Malls ( Kerana, Pharmacy, Sabsi dukanoun ku chhodh kar ) band kar rahay hain. Hukoomat ne sabhi Malls ko band karne ka faisla kiya hai, Sirf Malls mein mojood zurori dukanain hi khuli rahen gi. –YTN STAFF