Mumbai : Mumbai ko saal bhar pani faraham karne ke sabhi zakhair aab behtareen barish ki wajah labraiz honay ke baad hukkaam mutmaen hai aur guzishta do hafte ki musalsal barish ne un jheeloun mein pani ki satah mein izafah kardiya hai jo kay Mumbai ke shehriyoun ke liye ek raahat ki baat hai jabkay municipal Corporation intezamia ( BMC ) ne yeh khush khabri bhi di hai ke tulsi zakheera aabb labraiz hochuka hai. kyunkay is ke ird gird das baara dinon se bhaari barish horahee hai.
BMC zaraye ne mutala kiya hai ke tulsi jheel mein 139.17 meter pani jama rehta hai aur aaj subah saweray jheel 137.10 meter ke nishaan ko chu chuki hai aur barish ka silsila yahan jari hai. tulsi talaab Mumbai ko pani farahmi karne wali saat jheeloun mein se ek hai, jo kay har saal Mumbai ko 14 laakh 47 hazaar 363 MDM pani sarbarah karti hai jabek fil haal un jheelon mein taqreeban 6 laakh 36 MDM letter pani jama hochuka hai jo kay ek tasalii bakhash nateeja hai .
Mumbai mein Monsoon ki takheer ki wajah se BMC ne pani ki farahmi mein 10 feesad takhfeef kar di thi. is se qabal guzashta saal pani ki kami ke sabab takhfeef ka silsila jari raha aur ab yeh kuch mamool ke mutabiq honay ki umeed hai. BMC hukkaam ke mutabiq haliya mousaladhar barish ne un jheelon ki satah aabb mein izafah kardiya hai aur taqreeban 6 feesad izafah hogaya hai jo kay ek umeed afza nateeja hai.
Bataya jata hai ke Monsoon ke khatam honay ke sath 1st october tak un zakhair aab mein 14.47 laakh million letter pani hona chahiye aur iski wajah se saal bhar bila rukavatt pani ki sarbarahi mumkin hogi lekin 2017 aur 2018 mein mausam baran mein kam barish ne un jheelon ki satah aabb mein izafah nahi kiya tha.
Jumeraat se Mumbai mein barish ka zor kam hua hai aur mehakma mosmiyat mein mehez 3.8 mm aur santacruz mein 2.6mm barish record ki gayi hai. Tulsi aur shehar mein waqay vihar lake labaab hochuki hain aur unke chhalak jaane ka imkaan hai kyunkay un ilaqoun may achi khasi barish horahee hai.
Yeh Jheelein Thane aur Shahpur taluqa mein waqay hain. Bhansa mein 24 ghantay mein 179 mm , upper vaitaran mein 175 mm , middle vairtana mein 159 mm modak sagar mein 126 mm , aur tansa mein 101 mm barish record ki gayi hai jabkay tulsi mein 87 mm aur vihar mein 25 mm kam barish hui hai lekin do hafte ki tufani barish ne un dono jheeloun ko labrez kardia hai. –YTN STAFF