Friday, April 19, 2024
HomeIndiaMumbai-Hyderabad bullet train araziyat ke sarwe ka agaaz

Mumbai-Hyderabad bullet train araziyat ke sarwe ka agaaz

Hyderabad: Maharashtera ke thaane zilaa ke dehatiyon ko majooza Mumbai Hyderabad high speed rail jise bullet train project ka naam diya gaya hain iske baare mein agaah kiya gaya jis ki fezeblity ka fil haal sarwe kiya ja raha hai. National high speed rail corporation (NHSRC) ke ek auhdedar ne kaha hai ke yeh tez raftar rail line Mumbai Pune aur Hyderabad ko Maharashtera aur Telangana ke 11 station’s se jodeigi.

NHSRC ke diputy general manager NK patil ne thaane ke diputy collector (zameen ke husool) pershant suriya vanshi aur deegar auhdedaro ki maujoodgi mein is project par tafseeli presentation di. Unho ne ijlas se khitab karte huwe kaha hai ke pura 649.76 kilo meter ka rasta green caridor hoga. DPR (tafseeli project report) ki taiyari ka kaam is waqt jaari hain.

Unho ne kaha ke bullet train Mumbai aur Hyderabad ke darmiyan safar ka waqt maujooda 14 ghante se kum kar ke sirf 3 ghante kar deigi. Thaane new Mumbai lonawala Pune baramati pandharpur sholapur Gulbargah wiqarabad aur Hyderabad samait kal dus station majooza mansooba mein shamil hain. Rail line thaane rai gadh Pune aur sholapur ke chaar izlaa ka ehata kareigi.

Thaane zilaa mein jumla 1200 hachter arazi darkar hogi. Majooza rail caridor bade express ways national high ways green field ilaaqon ke saath chalne ka mansooba hain aur caridor ke saath muqtalif shehron ke darmiyan tez raftar rail raabte ke liye intermidiate city road network ki arterial sadkon se guzar sakta hai. Hukkam ne mazeed kaha hai ke is mansoobe ke liye darkar araziyat ke sarwe ke liye drone istemal kiye jaa rahe hai aur umeed ki jaarahi hai jald sarwe ka kaam mukammil kar liya jayeiga.