Monday, April 29, 2024
HomeIndiaMumbai aur atraaf mein 2015 se 2019 ke darmiyan 1472 Imaratein munhadim

Mumbai aur atraaf mein 2015 se 2019 ke darmiyan 1472 Imaratein munhadim

Mumbai: Rawan hafta Mumbai Bhivandi ilaqay mein jeelani building munhadim waqea apni noiyat ka pehla waqea nahi hai balkay guzishta 4 barson ke douran taqreeban 1500 Imaratein giri hain jis ka tazkara adalat se milnay wali Khabar  mein hua. Shehrion ko mehfooz imaarton aur mahol mein rehne ke haq ko aeen hind ki dafaa 21 ke zareya zamanat diye jane walay bunyadi huqooq ka ek pehlu qarar dete hue Bombay high court ne kaha ke Mumbai shehri idaron ka yeh farz  banta hai ke wo aisi surat-e-halal laaye ke un ke baldeati daira ikhtiyar mein tamam Imaratein qanooni, paidaar aur mehfooz hon.

Mumbai Bhivandi ilaqay mein 21 September ko jeelani building Nami Imaratein ke munhadim honay aur is mein 41 afraad ki jaanoun ke zeyaa par dukh aur afsos ka izhaar karte hue Bombay high court ne Bhivandi nizaam poor municipal co-operation co-operation, mizar co-municipal co-operation, Mumbai , alhaas nagar municiple cooperation, thaana municiple coopration,, vasai virar municiple cooperation,, mera bhaidar municiple cooperation, navi Mumbai municipal cooperation ke sath sath riyasat Maharashtra mehakma shehri taraqqi aur mohkama dakhla ko notice jari kiye hai.

Adalat ne muamlay ki sanjeedgi ke mad-e-nazar az-khud paish-raft karte hue chief justice Deepenkar dutta aur justice GS kalkarni par mushtamil division bench ne senior advocate Sharan jagtiyani aur advocate Rohan surway ko is muamlay mein adalat ki madad ke liye muqarrar kiya hai.

Adalat ne is baat ko note kiya ke it-tila-aat ke mutabiq is imarat ko Bhivandi nizaam pur municiple coopration ki janib se mutala kardah khatarnaak dhanchay ki fehrist mein shaamil nahi kiya gaya tha. mazeed ye ke pichle teen saal mein is imarat ke silsilay mein municiple coopration aur is imarat ke araazi ke malik developr, syed Ahmed jeelani ko mutadid notices jari kiye gaye thay. is imarat ki khasta haalat ki wajah se usay khaali karwanay ka mutalba kiya gaya tha. is tarhan ka aakhri notice feb 2020 mein jari kiya gaya tha.

bench ne mushahida kiya hai ke agar yeh sach hai to bad qismati ki baat hai ke baldia ke hukkaam ne imarat ko khaali karwanay ke liye koi karwai nahi ki. yeh bhi bataya jata hai ke is imarat ko 1984 mein municiple coopration ke qiyam se qabal tamir kya gaya tha aur baad mein do ghair qanooni manzilain taamer ki gayi. taham municiple authorities aur is ke ohdedaron mein se kisi ki taraf se koi karwai nahi ki gayi.

yeh kehte hue ke imarat girnay ke is tarhan ke waqeat har saal khaas tor par monsoon ke waqt hotay hain, adalat ne kaha yeh waqea tanha waqea nahi hai. is se qabal august ke mahinay mein, Town mahad (zila raigarh) میں ”Tariq garden ke naam se mashhoor teen manzila imarat munhadim hochuki hai jis mein do senior shehrion samait 16 afraad ki halakat ki it-tila-aat hain. imarat girnay ke aisay waqeat taqreeban har saal aur khaas tor par monsoon ke mahino mein hotay rehtay hain.

Adalat ne 24 September 2020 ko shaya ek angrezi akhbar ka hawalay se kaha ke 2015-2019 ke douran mumbai shehar aur nawahi ilaqon mein imarat ke girnay ke 1472 waqeat hue jin mein 106 afraad apni jaan se haath dho baithe jabkay 344 zakhmi hue. July 2017 mein imarat ke girnay ka ek ahem waqea muzafati ghaat cooper mein sudhi sai imarat ka tha jis mein ittila ke mutabiq 17 afraad halaak hue hain. hamein is afsoosnaak haalat par be had had tashweesh hai.