Friday, April 26, 2024
HomeHyderabadMulzim Raju ki maut ki adaalti tehqeeqat ka mutaliba

Mulzim Raju ki maut ki adaalti tehqeeqat ka mutaliba

Hyderabad: Telangana ke darul hukoomat Hyderabad ke ilaaqe sidabad mein 6 saala ladki ki ismat rezi aur qatl ka muqadma ab ek naya mod iqtiyar kar chuka hain kyun ke gujishta Roz matluba mulzim Raju ki khud kashi ke khabar manzar e aam par aayi hain. Jiske baad is khud kashi ya qatl ke zawiye se dekhne ka mutaliba zor pakadne laga hai.

Hyderabad mein karkuno ne mutaliba kiya ke pala konda Raju ki maut ki adaalti tehqeeqat ki jaye jis par sidabad mein 6 saala bachi se zyadati aur qatl ka ilzam hai. Human right forum se talluq rakhne wale Jeevan Kumar ne kaha mulzim ki maut ke baad bohut se sawalat samne aaye hain lekin is barein mein kioe wazahat nahi hain ke Kya huwa hum mutaliba karte hain ke ek azaad adaalti tehqeeq shuroo ki jaaye taake hum uski teh tak pohunch sakein.

Tehqeeq in shuhaat ko khatam karne aur kayi sawalat ko khatam karne mein bhi madad deigi jo is waqt utt rahe hain. Yeh batate huwe ke Raju ki khud kashi ne shukook o shubuhat ko janm diya hain. Samaji karkun meera sangmitra ne kaha mamla intehai ghinona hain aur uski maut ki halat ki tehqeeqat honi chahiye. Yeh adalti nigrani ka amal hona chahiye. Unho ne mazeed kaha ke Raju ka mehfooz hona zaroori hai aur postmortem mayena surgeon ke ek azaad panel ke zariye kiys Jana chahiye. Progressive organization of women V Sadhiya ne media se kaha ke khawateen aur transgender organization joint action commeti (TJAC) ke ek wafad ne is mamale par Telangana high court ke qayem muqaam chief justice ko ek yaad dasth paish ki hain.

Yaad rahe ke sayeedabad mein 6 saala bachi ki ismat rezi aur uske qatl ke baad awaam mein kaafi gussa paya jaata tha aur awaam ne police ki jaanib se waqia ke kayi din guzar jaane ke baujood khaati ki adam giraftari par apne gusse ka izhar ehtejaaj ke zariye kiya tha jiske baad police ne apni talashi muhim mein shiddat paida karte huwe mulzim Raju ka pata dene wale ko 10 lacks inaam dene ka elaan bhi kiya tha jiske baad uski laash ghanpur police station ke hudood mein railway ki patriyon par mili.