Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaMulzim ne ismat dari ki mutasirah ko di dhamki, Unnao se bhayanak...

Mulzim ne ismat dari ki mutasirah ko di dhamki, Unnao se bhayanak hosakta hai anjam

Baghpat : Uttar pradesh ke Baghpat ki ek ladki, mukharjee nagar, Delhi mein rehti thi. pichle saal is ki ismat dari ki gayi thi. mulzim is ke gaon kaahi rehne wala tha. Waqyea ki video banai gayi aur mulzim ne is video ko viral karne ki dhamki dekar baar baar uski izzat loot li. tang aakar is ladki ne himmat karke police mein shikayat darj karke aur mulzim ko giraftar kar liya gaya. guzishta chaharshambeh ko mulzim ko zamanat par riha kiya gaya tha aur isne mutasirah ke ghar ke bahar ek par 6 chispan kardiya, jisay dekh kar poora khandan haeran reh gaya.

Mutasirah ladki ke waalid Dehli mein auto driver ki haesiyat se kaam karte hain. chahar shambrh ke roz jab woh apne ghar ( baghpat ) wapas aaye to makaan ki deewar par ek parcha chaspan kiya hua dekha, is par likha tha ”agar aap adalat mein gawahi denge to nateeja bohat bura hoga. iske nataij Unnao se bhi ziyada kharab hosakte hain. is dhamki amaiz parche ko padhte hi unke hosh udh gaye. mutasirah ke ahal-e-khanah ne fori tor par police ko ittila di. police ne mulzim ko phir ek baar girftar kar liya hai.

Baghpat ke senior police officer, pratap gopendar yadav ne bataya ke mulzim mutasira ke gaon ka hai. usay budwan se girftar kiya gaya hai. mutasirah ladki aur iske ahal-e-khanah ko security faraham kardi gayi hai. doosri taraf mulzim ne bataya ke is ne yeh parchay chispan nahi kiya hai. gaon mein is ke dushmanoun ne usay phasane ke liye yeh sab kiya hai. is muamlay mein mutasirah ko jummay ko Delhi ki adalat mein gawahi deni hai.

Police mein darj karai gayi shikayat mein mutasirah ne kaha hai ke’ waqea guzishta saal, Delhi ke ilaqay ka hai. woh sharn singh ke sath apne dost ke ghar gayi, wahan, cold drinks mein manshiat shaamil karne ke baad usay pilaya gaya aur uskay sath zayad-ti ki gayi. mulzim ne iski video bhi banai aur usay viral karne ki dhamki dete hue iske sath zayad-ti ka silsila jari rakha. Filhal parcha chaspan karne ke muamlay mein police tafteesh kar rahi hai. –YTN STAFF