Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaMulk ki salamati par kisi bhi taaqat ki taraf se aanch nahi...

Mulk ki salamati par kisi bhi taaqat ki taraf se aanch nahi anay diya jaye. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar M. K Faizi ne waadi Galwan mein peer ke roz dakhal andazi karne wali cheeni fouj se pur-tashaddud jhadap mein 20 Bharti fouji ehalkaroun ki halakat par gehray ranj o gham ka izhaar kiya. Unhoun ne sogwaar khandano se dili ranj o gham ka izhaar bhi kiya. M.K Faizi ne is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte huve kaha hai ke 1975 mein Assam Rifles ke 4 fouji ek hamla mein halaak huve they, Is ke baad sarhad par ikka dukka tasadoun ke ilawa guzashta paintalis barsoun mein kisi qisam ka jani nuqsaan nahi huwa aisay mein 20 bahadur fojioun ki jaanun ka nuqsaan mulk ke liye ek bada sadma hai. Pur-tashaddud jhadap ki ittila hindustani Army Chief General Manoj Mukund Naravane ke bayan ke kayi dinoun baad samnay aayi hai jis mein unhoun ne kaha tha ke Ladakh ke Galwan waadi khittay se dono afwaj ki paspaai ka amal shuru kardiya hai. Ye bohat heran kun hai ke paspaai ke amal ke douran hindustani fojioun ne apni jaan kaisay gavayi? Dono mumulik ke mabain tanao April ke aakhir mein shuru huwa tha, Mazakiraat ke kayi round bhi is tanao ko khatam karne mein nakaam rahay. China ki dar andazi ka aaghaz gazasht daidh mahinay qabal se hi shuru hogaya tha, Hukoomat ney mulk ko khabi bhi ye nahi bataya ke sarhad par kya ho raha hai.

Hindustani Media ney is taraf se aankhh band karliya tha, Jabkay qabil aetmaad bain ul aqwami media hindustani ilaqay mein cheeni mudakhilat ki Report day raha tha. Cheeni fouj apne toup khane aur fouji taaqat ko mazboot karte huve taqreeban 60 murabba Kelo Meter hindustani sar zameen ke and ray aagai thi. Wazeer difaa Rajnath Singh ke kuch kamzor bayanaat jaisay ke’ Hindustan ab ek kamzoor mulk nahi hai’ Aur markazi wazeer baraye Road transport aur highway Nitin Gadkari ka bayan ke’ hamein Pakistan aur China ki sar zameen nahi chahiye, Hum sirf aman, Ittehaad, Mohabbat aur ek sath milakar kaam China ka muqaabla karne aur logoun ko sach batanay se hukoomat khaufzadah dikhayi deti hai. Wazeer e azam Narendra Modi jinhoun ney apni doosri meyaad ki pehli saalgirah ke mauqa par letter to The Nation mein surgical strike aur hawai hamlay ki dingin maari theen, Wo sorat e haal ko saheh tareeqay se sambhalne aur tanaze ko khatam karne mein mukammal tor par nakaam ho chukay hain. Is na-ahli ki wajah se hamaray fojioun ki qeemti jaanen gayi hain.

Is hukoomat ki ghalat kharja policy ki wajah se Nepal sameit hamaray taqreeban tamam padosi mumulik ab hamaray mulk ki tain thanday hogaye hain. Nepal ney hindustani ilaqay ke andar ke taqreeban 400 murabba kelo meter araazi ko shamal karne ke liye apne ayeen mein tarmeem ki hai. SDPI qaumi sadar MK Faizi ney China aur Nepal ki sarhadoun par honay wali pish raft ke baaray mein gehri tashweesh ka izhaar karte huve markazi hukoomat par zor diya hai ke wo is baat ko yakeeni banayen ke koi bhi taaqat Hindustan ki salamati par haath uthany nah paye China ka muqaabla karne aur logoun ko sach batanay se hukoomat khaufzadah dikhayi deti hai. Wazeer e Azam Narendra Modi jinhoun ney apni doosri meyaad ki pehli saalgirah ke mauqa par Letter To The Nation mein Surgical Strike aur hawai hamlay ki dingin maari theen, Wo sorat e haal ko saheh tareeqay se sanbhalne aur tanaze ko khatam karne mein mukammal tor par nakaam ho chukay hain. Is na-ahli ki wajah se hamaray fojioun ki qeemti jaanen gayi hain.