Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaMulk ke adalti nizam ko adawat se pak rakha jaye. SDPI

Mulk ke adalti nizam ko adawat se pak rakha jaye. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi naib sadar Advocate Sharfuddin Ahmed ne Prashant Bhushan tauheen adalti muamlay mein apne khayalat ka izhaar karte hue kaha hai ke party hamesha Supreme Court ke faislon ka mutalea karti aa rahi hai aur awaami ahmiyat ke haamil kuch qanooni mamlaat mein mudakhilat bhi karti aa rahi hai. Wo din Mulk mein Hindustani adliya ke liye ek bohat bada din tha jab Supreme Court ke 4 sab se senior judge Hindostan mein jamhoriat ko mazboot karne ke liye khulay dil se aur ghair riwayati tor par adalt se baher aaye thay.

Is waqt pooray Mulk ney is ko saraha aur adliya aur Supreme Court ko khusoosi tor par izzat-o-ehtram ki nigah se dekha tha. Agarchay, Kuch aisay mawaqay bhi aaye jab loog insaaf se mutmaen nahi they lekin Supreme Court ney aksar apne maazi ki ghaltion ko daur karkay faislay sunaye hain jis se awam ki nazar mein adliya ka waqar badha hai. Lekin Supreme Court ki tareekh ney heran kun moud liya jab justice Arun Mishra, Justice B R Gavai aur Justice Krishna Murari ki bench ney Prashant Bhushan ke 2 Twit par az khud notice liya hai aur inhen notice jari karte hue tauheen-e-adalat ki karwai shuru kardi hai aur Prashant Bhushan ke khilaaf saal 2009 mein zair samaat tauheen-e-adalat ka ek aur case khoj liya jis ki samaat pehlay deegar benchon ke zariye ki gayi thi. Aisa mehsoos ho raha hai ke Supreme Court is muamlay mein Supreme Court ke qaim shuda tareeqakar ke khilaaf tareekh tey karne mein jald baazi kar raha hai.

Supreme Court ke 3 Judges ke bench ny Prashant Bhushan ko tauheen-e-adalat ka murtakib qarar diya hai aur 20 August saza ki miqdaar ka faisla karne ke liye tye hai. Prashant Bhushan ny kayi mafaad aama muqadmay dair kiye hain aur insaaf, Jamhoriat aur mulk ke azeem nazriaat ki khatir awam ki ahmiyat ke tamam mamlaat mein khuloos dil se apne aap ko shaamil rakha. Prashant Bhushan muamlay mein aaj ye mehsoos ho raha hai ke Retired Judges, Danishwaron, Siyasi aur samaji kaarkunon ko badi dili takleef ka saamna karna pada hai aur is douran ek badi raye aama samnay aayi hai. Ab ye zahir ho raha hai ke haqeeqat mein Prashant Bhushant ko un tamam logoun ki himayat haasil hai jo zameer, Hamdardi aur himmat rakhtay hain. Prashant Bhushan ko un ke hauslay aur aala aadershon par mulk salam pesh karta hai.

Wo apne eqdaar aur usoolon ko barqarar rakhnay ke liye apni pesha warana zindagi mein be shumaar nuqsanaat uthatay arhay hain. Wo naye Jayaprakash Narayan hain jis ki Bharat ko ab zaroorat hai. SDPI Appeal karti hai ke mulk ke adalti aur jamhoori nizaam ko kisi bhi qisam ke adawat se pak rakha jaye. Is moqadas usool ke pesh-e-nazar ke agar koi mujremana karwai amal mein nahi layi gayi hai to mehez alfaaz se koi jurm nahi huta Advocate Prashant Bhushan ko Social media par Twit karne ke liye tauheen-e-adalat ki saza nah di jaye.

wo –apne eqdaar aur usoolon ko barqarar rakhnay ke liye apni pesha warana zindagi mein be shumaar nuqsanaat uthatay arhay hain. wo naye jiye prkash narayan hain jis ki Bharat ko ab zaroorat hai. SDPI appeal karti hai ke Mulk ke adalti aur jamhoori nizaam ko kisi bhi qisam ke adawat se pak rakha jaye. . is مقد seen usool ke paish e nazar ke agar koi mujremana karwai amal mein nahi layi gayi hai to mehez alfaaz se koi jurm nahi ہوتااڈوکیٹ Prashant Bhushan ko soshil media par ٹوئیٹ karne ke liye tauheen e adalat ki saza nah di jaye.