Thursday, May 2, 2024
HomeOthersBusinessMulk bhar mein pyaaz ki qeematoun mein izafah, awam ko pareshani ka...

Mulk bhar mein pyaaz ki qeematoun mein izafah, awam ko pareshani ka saamna

Hyderabad : Mulk bhar mein jahan zaroriat zindagi ki deegar cheezoun ki badhti qeematoun se awam pareshan hai, wahein in dinoun pyaaz ki badhi hui qeematoun ne to aam wo khaas ko pareshani mein mubtala kar diya hai. sath hi sath yeh media mein bhi apni aasman ko chothi qeematoun ko lekar chhai rahi. aur ab to pyaaz itni mehngi hogayi hai ke aam aadmi ya yun kahein ke ghareeb aadmi ki pohanch se bahar hai. kyunkay jahan yeh 20 se 25 rupaye mein kilo, mil jati thi, wahein ab 80 rupay kilo tak farokht ki jarahi hai.

Pyaaz ki is qadr badhti qeematoun ko dekhte hue hukoomat ne pyaaz Bar-aamad karne par pabandi lagadi taakay muqami mandiyon mein pyaaz ki qeematoun ko mazeed badhne se roka jaye.

Mulk muashi sust rawi se do chaar hai, aisay mein pyaaz mehngi honay se sarfeen aur aam aadmi ko pareshani ka saamna karna padh raha hai. hukoomat ki janib se pyaaz Bar-aamad par pabandi se muqami satah per pareshani nahi hui, balkay bar-aamad par pabandi se berooni satah par bhi masail paeda hue hain. khaas tor par padosi mulk Bangladesh se jo hindustan se pyaaz daraamad karne wala ek bada mulk hai.

Pyaaz ek aisi sabzi hai, jo ghareeb aur Ameer sab hi istemaal karte hain, aur yeh har hindustani pakwaan ka laazmi juz hai. iske alawa hindustan ke aksar ilaaqoun mein jo koi sabzi kharedne ki haesiyat nahi rakhta ya koi aur cheez dastiyab nah ho to log pyaaz ke sath hi rotti khaletay hain.

Maroof sahafi Dipti ravat ke mutabiq, kisan pyaaz ko hathoun haath farokht honay wali fasal samajte hain, jo kam arsay mein aur khushk mausam mein bhi achi paedawar deti hai. agar pyaaz ki qeematein had se ziyada badh jati hain to is se ek badi aksariyat mutasir hoti hai, chahay woh roz maraah ke khareedar hon, kisaan hon, ya Bar-aamad karne wale.

Director of national agriculture ko operative federation Nana Sahib Patel ka kehna hai ke baarisho aur saelaab ki wajah se ilaaqoun mein pyaaz ki fasal tabah honay ke baais, is ke alawa 35 feesad zakheera ki hui pyaaz ke bhi baarisho aur saelaab se mutasir honay, September tak pyaaz ki fasal aanay ke bajaye is mein takheer ki wajah se pyaaz ki qeematoun mein izafah hua hai.

Awam ka kehna hai ke hukoomat ne pyaaz ki qeemat badhatay hi fouri karwai ki. Maharashtra ke ek kisaan ka kehna hai ke hukoomat is waqt kuch nahi karti, jab pyaaz ki qeematein kam ho jati hain. unhon ne kaha ke hukoomat ko chahiye ke woh kisanoun se barah-e-raast pyaaz khareeday, taakay kisaan ko unki qeemat miley aur pyaaz mehngi na ho. –YTN STAFF