New Delhi : Mulk bhar ke wazraye aala ne haftay ke roz, Vikram Lander ke jhatkay ke bawajood hindustani khalayi tehqiqati idaray ( ISRO ) ke chaand ki taraf badhne par apne fakhr ka izhaar kiya.
Wazraye aala ka yeh bayan chand Lander Vikram aur orbitter ke mabain raabtey ke ghantoun baad aaya, jab woh haftay ke roz subah ke waqt chaand ke junoobi qutub mein apne taye shuda Landing maqam se sirf 2.1 Kilometer ki doori par tha.
Andhra Pradesh ke wazeer-e-aala YS Jagan Mohan reddy ne Twitter ke zareya kaha ke ”aakhri waqt mein ek mamooli dhachka kamyabi ke liye ek qadam hai. qoum is waqt ISRO team ke sath khadi hai aur misali koshisho ko sarahti hai. Hindustan ko hamaray science danon par fakhr hai.
Andhra Pradesh ke sabiq wazeer-e-aala aur TDP ( TDP) ke saddar N.Chandra Babu Naidu ne kaha ke Vikram ko aakhri lamha mein ek pareshani ka saamna karna pada, unhon ne ab tak jo bhi haasil kiya hai woh bhi kam nahi hai. Unhoun ne kaha ke’ ISRO poora mulk aap ke sath hai.
Wazeer-e-aala Punjab Amrendar singh ne Lander ke sath raabtey ke ahya ki umeed ki. unhon ne kaha ke ”qoum Vikram Lander ke sath muwasilat ki bahaali ki muntazir hai. hum sab ko ISRO ki mehnat par fakhr hai.
Haryana ke wazeer-e-aala Manhora lal Khattar ne bhi Twitter par kaha ke aisi koi nakami nahi hui hai, balkay sirf wo aarzi rukawaten hain. aam aadmi party ke convener ne kaha ke ”hamein apne science daano par fakhr hai, unhon ne tareekh raqam ki hai. dil chota karne ki zaroorat nahi hai.
Wahein karnatak ke wazeer-e-aala BS Yeddiyurappa ne tweet kiya ke ”ham aap ke sath hain ISRO, hamein aap par fakhr hai ke aap ne chaand ke junoobi qutub par utarney ki himmat ki hai, jahan jaaney ki kisi ne koshish nahi ki.
Maharahstra ke wazeer-e-aala Devendar Fadnavis ne kaha ke Inhen koshisho aur mehnat ke liye ISRO par fakhr hai. unhon ne wazeer-e-aazam Narendra Modi ki qiyadat ki sarahana ki. Goa ke wazeer aala Pramod sawant ne khalayi technology mein ahem qadam uthane par ISRO ke science danon ki saraish ki. unhon ne ek bayan mein kaha ke Chandrayaan 2 ko landing ke douran mushkilaat ka saamna karna pada, lekin poori qoum ko ISRO ke science danon ki team par fakhr hai. –YTN STAFF