Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadMulazimat ya ghulami, ganesh visarjan ke din bhi IT mulazmeen ko...

Mulazimat ya ghulami, ganesh visarjan ke din bhi IT mulazmeen ko daftar hazir honay ki hidayat

Sangeen soorat-e-haal se Hyderabadi awam pareshan

Hyderabad : School kitabon mein hum Bartanwi samrajit ki ghulami aur unki zulm wo sitam ki daastaa’n padhte aur suntay aaye hain lekin aaj ke is taraqqi Yafta daur mein bhi Hyderabadi awam ko aisi hi ghulami ka saamna karna padh raha hai kyunkay aaj jahan shehar mein mein ganesh visarjan hai aur riyasat Telangana ki hukoomat ne aam tateel ka elaan kiya hai jis ki ek ahem wajah hazaron ki tadaad mein ganesh visarjan ki wajah se riyasat ke alawa shehar hyderabad ki tamam sadkain ruk si jati hain aur awaami hamal wo naqal ke tamam zaraye band rehtay hain jabkay khangi sawariyan bhi traffic ki wajah se masail ka shikaar hoti hain lekin is ke bawajood hyderabad mein moujood multi national IT companiyon ne apne mulazmeen ko daftar hazir hone ki hidaayat di hai aur yeh bhi kaha hai ke Cab drivers kyunkay rukhsat par hain lehaza inhen apni khangi sawari par daftar pohanchna hoga.

Apni shanakht zahir na karne ki shart par mushkil tareen sorat-e-haal ke zimn mein puranay shehar se talluq rakhnay wali ek mulazma ne kaha hai ke woh HSBC bank Hitec city mein Mulazimat anjaam deti hain lekin inhen aaj mushkil tareen sorat-e-haal ka saamna hai kyunkay ek janib jahan shehar mein ganesh visarjan ki wajah se saaray rastay band hain aur awaami hamal wo naqal ki sahuliyaat bhi band hain doosri janib inhen hidaayat di gayi hai ke woh Mulazimat par hasb-e-mamool haazir rahen.

Jahan tak ganesh visarjan ka talluq hai sirf cyberabad ki hudood mein 10100 ganesh visarjan ke liye mojood hain jabkay hyderabad traffic additional commissionaire Anil kumar ne wazeh kiya hai ke 30 ghantoun ke douran shehar hyderabad ke ahem raastoun par traffic tehdidat aed rahen gi balkay baaz rastay to mukammal band rahen ge lehaza un halaat mein IT companiyon mein Mulazimat anjaam dainay walay afraad sangeen sorat-e-haal ka shikaar hain aur woh yeh kehnay par majboor hain ke Mulazimat se kahin ziyada yeh ghulami ho rahi hai jahan aaqa ki baat nah maan-ne par Mulazimat khatray mein pad rahi hai to doosri janib Mulazimat ko bachanay ke liye mushkil tareen sorat-e-haal se guzarna pad raha hai. –YTN STAFF