Sunday, September 15, 2024
HomeEntertainmentMulazimat ki jagah Harassment kisi bhi qeemat par na qaabil e bardasht

Mulazimat ki jagah Harassment kisi bhi qeemat par na qaabil e bardasht

Hyderabad: Bollywood adakara Neha Sharma jo wikalap ke naam se ek muqtasar film mein nazar aaye jo mulazimat ki jagah par khawateen ko jismani aur zahni Harassment ke masle ko hal karti hain is ziman mein kaha hai ke mulazimat aur kaam ki jagah par Harassment karne ki kisi bhi khisam ko mamool nahi banaya jaana chahiye.

Is mamle par apni rai dete huwe Neha ne kaha mujhe lagta hai ke hirasan karna chahe woh jismani ho ya zahni yeh ek bohut hi aam masla ban chuka hain jiska hamare muashera ke beshtar logon ko saamna karna padta hai aur zyada tar tabqa apni awaaz tak nahi uta sakta kyun ke woh apni naukri bar qaraar rakhne ke liye zindegi ke liye paisa kamane ki zaroorat ki wajeh se use bardasht karte hain. film wikalap mein bhi is masle ko ujagar kiya gaya hain ke kisi tarha kaam aur mulazimat ki jagah par taqat ghunda gardi aur mulazim ki majboori ko hara Harassment sani ka mamool banaya gaya hain. paisa kamane ya naukri ko barqarar rakhne ki wajeh se insan ke wiqar aur izzat par samjhota nahi kiya ja sakta.

Wikalap ki kahani ek copurate office ki hain aur ek chote shehar ki ladki shiwani naami kirdar ka waqia hain aur woh Harassment sani ke masle se kaise nipati hai is film mein dikhaya gaya hain.is film ki hidayat dhiraj jindal ne di hai aur is mein inshol Chauhan bhi hain.yeh film digital plate form royal stague berral slakit badi short film par release ki gayi hain.haaliya dino mein Neha ko film tanha ji music video thoda thoda pyar aur vote web series gair khanooni mein dekha gaya hain.

Woh gair khanooni ki nayi season aur Nawaz uddin siddiqui stars film ki shooting mein kaafi masroof thi unho ne ek mutasir film mein kaam Kyu kiya? Is par Neha ne kaha ke mere khayal mein feature filmon aur web series mein kahani sunane ki apni taqat hoti hain jab kisi ahem masle ko hal karne ki baat aati hai baaz auqaat muqtasar filmein dekhti hoon kyun ke zyada asar aur guftagu shuroo karne mein yeh kam waqt lagta hain.