Friday, April 26, 2024
HomeTrending NewsMukhtalif mumulik mein lockdown mein narmi ki wajah se coronavirus ke mareezoun...

Mukhtalif mumulik mein lockdown mein narmi ki wajah se coronavirus ke mareezoun ki tadaad mein izafah

London: Duniya ke mukhtalif mumulk ki janib se lockdown mein narmi ke baais aalmi satah par coronavirus ke mamlaat ki tadaad mein izafah dekhnay mein aaya hai. Americi khabar-rasan idaray ki report ke mutabiq Hindustan mein yomiya 15 hazaar ke qareeb naye mamlaat record ho rahay hain jabkay guzashta roz kuch reastain virus ke phelao ku roknay ke liye lockdown ke iqdamaat par ghhor kar rahi thi.

Qabal azeen hindustani hukoomat ne maeeshat ki bahaali ke liye mulk geer lockdow0n khatam kardiya tha jis ke nateejay mein lakhoon mulaazmaten khatam hochuki hain. Pakistan mein dawakhane mareezoun ko wapas bhaij rahay hain lekin muashi masail ke baais hukoomat, mulk dobarah kholnay ke liye pur azam hai.

Mexico, Columbia aur Indonesia mein bhi naye mamlaat taizi se badh rahay hain. Johns Hopkins University ke adaad o shumaar ke mutabiq America mein 23 lakh se zayed mamlaat aur 1 lakh 20 hazaar amwaat report huvi hain jabkay Brazil mein 11 lakh se zayed mamlaat aur 51 hazaar amwaat report hochuki hain.

America ke janoobi aur maghrebi ilaqoun mein mamlaat mein izafay se khadshaat mein izafah huwa hai ke virus ke khilaaf pesh-raft khatam horahee hai kyunkay raastain khul gayi hain aur kayi Americi mask pahannay aur ek dosray se samaji faasla rakhnay ke khilaaf muzahmat karte hain. America mein Infection diseases ke hakoomati maahir Dr Anthony Fauci mulk mein virus par rad-e-amal se ewaan mein bayan den ge. Un ka bayan Oklahoma mein munaqidah rally mein Americi sadar Donald Trump ke bayan ke baad aaye ga jis mein Americi sadar ney bohat ziyada misbet mamlaat samnay anay par intizamia se testing ki raftar sust karne ku kaha.

Rally mein shareek aksar afraad ne masks nahi pehnay thay, White House ke uhdidaran ne testing se mutaliq Trump ke bayan se mutaliq wazahat dainay ki koshish ki thi.

Aalmi idaara sahet ( WHO ) ke Emergency Chief Dr Michael J. Ryan ne kaha ke naye mamlaat ki record tadaad ki wazahat sirf testing mein izafay se nahi ki ja sakti kyunkay aksar mumulik mein dawakhanoun mein mareezoun ke dakhlay aur amwaat mein bada izafah dekha gaya hai.

Unhoun ney kaha ke mumulik ki ek badi tadaad mein waba urooj par poanch rahi ya urooj ki janib badh rahi hai. Doosri janib aalmi idaara sahet ke director Tedros Adhanom ney kaha ke duniya bhar mein 10 lakh Infection honay mein 3 mah se zayed ka waqt laga lekin haliya 10 lakh mamlaat mein sirf 8 din lagey. Dubai ke world government simat mein video conference se khitaab karte huve kaha ke ab hamein jis sab se baday khatray ka saamna hai wo virus nahi balkay aalmi qayadat aur yakjahti ki kami hai. Yahan tak ke wo mumulik jo ibtida mein virus ke khilaaf kamyabi haasil kar chukay they ab wahan dubara mamlaat samne aara he hai.

Australia ki riyasat Victoria mein coronavirus ke mazeed 17 mamlaat samnay aaye jis ke baais Melbourne mein 2 Primary Schools band kardiye gaye. China mein 22 naye mamlaat samnay aaye jin mein se 13 Beijing mein samnay aaye they jabkay Beijing hukoomat ke tarjuman ney kaha tha ke waba par qaboo panay ke iqdamaat se phelao sust hawa hai jis ke nateejay mein ibtidayi tor par 200 afraad mutasir hogaye they.

Alawa azeen janoobi Korea mein 46 naye mamlaat samnay aaye jin mein se 30 ka talluq bain ul aqwami safar se tha. Janoobi Korea ne kaha ke Roosi Cargo jahaaz mein 16 afraad ke mutasir honay ke baad Bosan ki janoobi bandargaah par 176 workers bhi test kiye jayen ge. Johns Hopkins University ke adaad o shumaar ke mutabiq duniya bhar mein taqreeban 1 crore afraad coronavirus se mutasir jabkay 4 lakh 72 hazaar halaak ho chukay hain. Mahireen ne kaha hai ke testing ki mehdood tadaad aur baaz mareezoun mein alamaat zahir nah honay ke baais mamlaat ki asal tadaad kahin ziyada hai.