Thursday, May 9, 2024
HomeSliderMukhalif rujhaan, TRS ke liye sab se bada challenge

Mukhalif rujhaan, TRS ke liye sab se bada challenge

Dubbaka assembly zimni intikhab aur GHMC intikhabaat ke nataij se pata chalta hai ke June 2014 se TRS ke khilaaf ek mukhalif rujhaan ka Ansar kaam kar raha hai TRS jo guzashta saade chay saal se Telangana par hukmarani kar rahi hai usay ab awam ke ek mukhalif rujhaan ka saamna karna padraha hai. TRS zaraye ke mutabiq party ke samnay sab se bada challenge yeh mukhalif rujhaan hai aur ab party ki saari tawajjah is janib mabzol hochuki hai ke is mukhalif rujhaan ke Ansar ko kaisay shikast di jaye? kyunkay yeh Ansar TRS ke sadar aur cheif Minister K Chandrasekhar Rao liye bhi pareshani ka baais ban gaya hai. is ki bunyadi wajah yeh hai ke GHMC mein TRS ki tadaad 2016 mein 99 nashiston se ghatt kar sirf 55 nashiston par aagai hai .

Sarkari khazanay se 60,000 crore rupay se zayed naqad scheme aur logon ke bohat saaray tabqo ko falahi scheme par kharch karne ke bawajood raye dahindoun ne TRS ko himayat nahi ki. yeh woh Ansar hai jisay party qayadat samajhney mein nakaam hai. TRS halqay is par behas kar rahay hain ke aaya mukhalif rujhaan TRS hukoomat ki naaqis karkardagi KCR ke kaam karne ke andaaz ki wajah se hai jo logon ke sath sath awaami numaindoun ke liye pareshani ka baais bani hui hai .
‫Yaad rahe ke Telamgana riyasat ki tashkeel ke waqt apni riyasat ki qiyaam ke liye awaam mein jo jazbaati shiddat thi jis ne TRS ka dil o jaan se sath diya tha ab woh ehsasasaat khatam ho chukay hain. TRS ab awaam ko Telangana ka jazbati naara bhi nahi day sakti aur na hi un ke apni riyasat ke jazbaat ke sath vote haasil kar sakti hai lehaza ab awaam ka mukhalif rujhaan TRS ke liye bada challenge ban chuka hai