Thursday, April 25, 2024
HomeSliderMuhib ullah ke qatl ki shafaf tehqeeqat ka America mutaliba

Muhib ullah ke qatl ki shafaf tehqeeqat ka America mutaliba

Washington: America ne bangladesh mein muqeem taqreeban 10 lacks rohingyan muhajireen ke rehnuma muhib ullah ke qatl ki mukammil aur shafaf tehqeeqat ka mutaliba kiya hain muhib ullah ko mulk ke sab se bade muhajir camp mein goli mar kar halaak kar diya gaya. America vazeer kharjaa Antony Blinkin ne ek bayan mein kaha hum 29 September ko bangladesh mein ek community leader aur rohingyan musalmano ke mafadaat ke muhafiz muhib ullah ki halakat se bohut pareshan hain. Hum is ghinone jurm ke mujrimon se jawab dahi aur unki maut ki mukammil aur shafaf tehqeeqat ki apeal karte hai. Hum rohingyan ke mafadaat ka difaa Karna jaari rakh kar aur unke musataqbil ke baare mein faislon mein community ke arakeen ki awaaz utha kar unke kaam ka ehteraam kareinge.

Haaliya barson mein mutatud halakaton ki dhamkiya milne ke baad arakeen rohingyan society for pess and human rights ke sadar muhib ullah par na maloom masle afraad ne hamla kar ke unhe halaak kar diya. Blinkin ne kaha ke muhib ullah duniya bhar ke rohingyan musalmano ke insani huqooq ke ek bahadur aur zabardast haami the.  Vazeer kharjaa ne kaha unho ne ministerial to advance religious freedom se khitab karne ke liye 2019 mein jiniva aur America mein insani huqooq counsil ka daura kiya tha…apne daure ke dauran unho ne apne tajurbat sadar aur nayeb sadar ke saath baante aur mazhabi mutasir hone wale zulm o sitam se bach kar nikalne walon se baat ki.

Human rights watch ne kaha ke muhib ullah ne miyanmar ki fauj ki jaanib se aqliyati muslim abaadi ke khilaf kiye gaye mubeena jarayem ki dastawizaat tayyar ki thi jin mein se kayi 2017 mein security forces ke kraik don ke agaaz ke baad humsaya mulk bangladesh farar hogaye the. Tanzeem ne bangladesh se muhib ullah ke qatl ki mustadi se tehqeeqat karne ki darqast ki.