Sunday, April 20, 2025
HomeSliderMuashi sust-ravi ne kiya ko kya mutasir, budget mein ki gayi 20...

Muashi sust-ravi ne kiya ko kya mutasir, budget mein ki gayi 20 feesad ki kami

Hyderabad : Muashi sust-ravi aur iske nateejay mein mehsoolat mein kami ne Telangana ko mutasir kiya hai. Kyun ke riyasat ne peer ke roz 2019-20 ke budget mein 20 feesad kami kardi hai.

Wazeer-e-aala K.Chandra Shekhar Rao ne feb mein paish kardah Vote-on-Account mein 1,82,017 crore rupay budget mein is baar isse kam 1,46,492 crore rupay ka budget paish kiya.

Reyasti assembly mein apne budget taqreer mein KCR ne kaha ke is muashi sust ravi ne tamam shobo ko mutasir kiya hai. budget mein 1,11,055 crore rupay ke mehsoolati akhrajaat aur 17,274 crore rupay ke sarmaya kharch shaamil hain.

Riyasat may maali khasaray ki takhmeenah 24,081 crore rupay ki hai aur takhmini mehsool aamdani 2,044 crore hai.

KCR ne kaha ke riyasat ko guzashta chand mahino mein kasaad bazari ke asraat ko mad-e-nazar rakhtay hue budget ke takhminoun par nazar sani karni hogi. Wazeer-e-aala ne kaha ke ”mujhe afsos hai ke mein 2019-20 ke liye reyasti budget aewaan mein paish kar raha hon, jabkay markaz aur riyasat dono shadeed maali bohraan se guzar rahay hain. hamein aisay aaz maashi waqt ke douran mehtat rehna hoga. unhon ne kaha ke majmoi gharelo masnoaat ( GDP ) mein zabardast kami aayi hai. tamam badey shobo mein mandi ka rujhaan hai. Mulk ki mashi halat bhi riyasat ko mutasir karti hai.

Wazeer-e-aala ne kaha ke ”Muashi bad–hali ka asar tamam khittoun par padha hai. moujooda muashi sorat-e-haal ki akkaasi karte hue kayi ahem shobo mein manfi asar padha hai. taham, KCR ne aewaan ko yaqeen dilaya ke hukoomat moujooda maali bohraan ke ba-wujood ghareeb awam aur kisanoun ke liye falahi programoun ko jari rakhnay ke liye pur-azm hai. –YTN STAFF