Wednesday, May 8, 2024
HomeIndiaMuashi bohraan ko hal karne ki bajaye BJP intiqami siyasat mein masroof

Muashi bohraan ko hal karne ki bajaye BJP intiqami siyasat mein masroof

New Delhi : Congress ne ilzaam lagaya hai ke Hindustan ki maeeshat gehray bohraan mein hai aur Wazeer-e-Azam Narendra Modi aur wazeer-e-khazana Nirmala sitaraman is simt mein koi qadam nahi utha rahay hain.

Congress ke tarjuman Anand Sharma ne yahan party headquarters mein press conference mein kaha ke maeeshat ke mutaliq jo adaad wo shumaar samnay aa rahay hain woh intahi tashweesh-naak hain. Mulk mein musalsal sarmaya kaari gir rahi hai, bank bohraan mein hain, maang toot rahi hai, paidawar ghat rahi hai aur manufacturing ke shoba mein badi giravat darj ki gayi hai aur halat se nipatnay ke liye jald thos qadam nahi uthaye gaye to aaney walay dinon mein bohran mazeed gehray hojaienge.

Unhon ne kaha ke Automobile shoba mein 35 laakh afrad ki mulaazmaten chali gayeen. handloom shoba, kapda shoba, chamdey ki sanat aur yahan tak ke biscuits companian bhi bohraan mein hain. companian mahinay mein kuch din factory band rakhnay par majboor hain. budget ki bunyaad par aamdani ke tehat hukoomat ko 25 laakh crore rupay akathey karne they lekin abhi tak sirf saat feesad hi jama ho paaya hai. Goods aur service tax ( GST ) se revenue jama karne ke adaad wo shumaar bhi umeed ke mutabiq nahi hai aur yeh hadaf se taqreeban 3 laakh crore rupay kam hai.

Tarjuman ne kaha ke haerat ki baat yeh hai ke hukoomat ke bar-aks halaat ke bawajood intiqami jazbay se kaam kar rahi hai. iski agencia opposition partiyon ke rehnumao aur yahan tak ke mukhalif siyasi partiyon mein kaam karne walay mulazmeen ke thikanon par chaapay maar rahi hai. unhon ne kaha ke BJP duniya ki sab se Ameer party hai lekin congress 5 saal se Iqtidaar mein nahi hai phir bhi iske daftar ke mulazmeen par income tax ke chaapay padh rahay hain. modi hukoomat mukhalfin ko nishana bana rahi hai aur unke rehnumao aur mulazmeen ko pareshan kar rahi hai.

Sharma ne kaha ke sirf congress hi nahi balkay doosri partiyon ke rehnumao ke khilaaf bhi isi tarhan ki karwai ki ja rahi hai. congress party ke na sirf tankhowa daar mulazmeen ko pareshan kiya ja raha hai balkay bahujan samaaj, TDP , Trinamool congress partiyon sameit doosri kayi ahem opposition partiyon ke leadron ko bhi sarkari agencio ka istemaal kar ke pareshan kiya jaraha hai.

Unhon ne ilzaam lagaya ke hukoomat badniyati se kaam kar rahi hai aur income tax mehakma ka ghalat istemaal kiya ja raha hai. BJP ne intikhabaat mein kitna paisa kharch kiya hai, yeh sab ke samnay hai lekin is ke khilaaf income tax mehakma kuch nahi kar raha hai.

Tarjuman ne kaha ke congress ka account section band padha hai kyunkay iske 5 mulazmeen ke ghar par chaapey padhe hain aur unke sath na-insafi ki jarahi hai. unke aabadi gharoun tak income tax ke ohdedar pohanch gay hain jo intahi qabil-e-mazammat hai. wazraa aur rehnumao par to chaaphey ki baat samajh mein aati hai lekin ek party ke kaarkunoun ke gharoun par chaapay maaray ja rahay hain, yeh haerat ki baat hai.

China ke sadar ke hindustan doura ke hawala se puchye gay sawal par unhon ne kaha ke hindustan aur china duniya ke do ahem mumalik hain aur dono badi maesahetin hain, is liye dono mumalik ko baat cheet ke zareya bahami tanazuath hal karne ki koshish karni chahiye. –YTN STAFF