New Delhi: Sharda university school of Dental Science Cancer ke ilaaj ke liye tahaqeeq aur Tashkees ke zimn mein unko kar India Private Ltd se ek yaadasht bahami mafahmat par dastakhat kiye hain taakay Berry Can + Nami adwiyaat ke zimn mein mein mazeed tehqeeqi umoor ki anjaam dahi ko yaqeeni banaya ja sakay kyunkay yeh dawa Mu ke cancer ke ilaaj mein ahem tasawwur ki jarahi hai .
Oncocur India private limited ki janib se mazkoorah dawa ke zimn mein tehqiqaat ke liye 6 lakh rupay ka fund university ko faraham kiya gaya hai jo ke Mu ke cancer ke ilaaj ke mutaliq honay wali tehqiqaat mein sirf kiya jaye ga. yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke indian council of medical research ke haliya report ke mutabiq guzashta 6 barson ke douran Hindustan mein Mu ke cancer ke mamlaat mein 114 feesad izafah Hua hai jabkay 2018 mein Mu ke cancer se marney walon ki tadaad mein 12.1 feesad ka izafah hua hai .
Is mauqa par izhaar-e-khayaal karte hue Sharda university ke Oral Pathology, ke shobay ke saddar Dr Deepak Bhargava ney kaha ke fariqain ke darmiyan honay walay muahiday aur university ko milnay walay fund ka istemaal Mu ke cancer, iski wajohaat, ilaaj aur nighadasht ko behtar aur taiz bananay par kharch kiya jayega. unhon ney mazeed kaha ke yeh fund ilaaj ke zimn mein ki jaaney wali koshisho ke liye ek behtar qadam hoga. doosri janib Oncocur India private ltd ke CEO Dr Vijay Kanuru ney kaha ke Sharda university ke school of Dental Science ke sath hamara moahida qabil-e-fakhr iqdaam hai aur hum pur azm hain ke university ke arbab-e-majaz Mu ke cancer aur Danton ke amraaz se honay walay masail par nai tahaqeeq ke zariye ilaaj ko mazeed behtar aur aasaan banayenge .– YTN STAFF