Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaMoujooda Godse Gandhi ke Hindustan ko tabah kar rahay hain : Owaisi

Moujooda Godse Gandhi ke Hindustan ko tabah kar rahay hain : Owaisi

Mumbai : AIMIM ke sarbarah wo rukan-e-parliament Hyderabad Asaduddin Owaisi ney chaharshambe ke  roz BJP ki zair-e-qayadat NDA hukoomat par hamla karte hue kaha kay moujooda Godse gandhi ke Hindustan ko tabah kar rahay hain. Maharashtra ke Aurangabad mein ek jalsa se khitaab karte hue unhon ney yeh baat kahi. Maharashtra mein 21 october ko Assembly intikhabaat munaqqid honay walay hain.

Owaisi ney kaha ke Nathuram Godse ney Gandhi ko goli maari thi, lekin mojooda Godse gandhi ke Hindustan ko tabah kar rahay hain. unhon ney kaha ke mai Gandhi par yaqeen rakhnay walon se keh raha hon ke woh is watan Aziz ko bachaye.

Owaisi ney kaha ke ”ham Mahatma Gandhi ka 150 yom-e-paidaiesh mana rahay hain. moujooda BJP hukoomat ke dimagh mein Godse hai aur Mahatma Gandhi unke alfaaz mein“. aur BJP gandhi ke naam par apni dukaan chala rahi hai. –YTN STAFF