Thursday, March 28, 2024
HomeSliderMotay loog hooshiyar hojayen. Coronavirus se Motay afraad aur Mard ziyada mutasir

Motay loog hooshiyar hojayen. Coronavirus se Motay afraad aur Mard ziyada mutasir

Hyderabad: Duniya bhar mein Coronavirus se mutasirah afraad se bharay Emergency Wards mein aksariyat mardoun aur aisay afraad ki hai jo Motape ka shikaar hain lekin mahireen fi al-waqt is ki wajohaat batanay se qassar hain. Francesi khabar rasan Agency ke mutabiq University College London ke Professor Derek Hill ne kaha hai ke khawateen ke muqablay mein Mard is Virus se buri terhan mutasir huve hain aur aisay afraad jin ka wazan ziyada hai ya jinhein pehlay se hi bemariyan la-haq hain, Un mein Virus se mutasir honay ke imkanaat deegar afraad ki nisbat kahin ziyada hain.

Coronavirus ka shikaar zair e ilaaj afraad par tahaqeeq karne walay Bartanwi idaray ke aadado shumaar ke mutabiq Corona ke mutasirah afraad mein se 73 feesad Mard jabkay 73.4 feesad Motape ka shikaar afraad hain. Ek se ziyada mumalik mein honay wali is tahaqeeq ke mutabiq 3 April se pehlay ke arsay tak Coronavirus se tandrost ho jaaney aur halaak ho jaaney walay afraad ke ibtidayi adaad o shumar se maloom huwa hai ke Motape ka shikaar mareezoun mein intahi nighdasht ke bawajood tandurust honay ke imkanaat kam hotay hain.

Tahaqeeq ke mutabiq 42.4 feesad kuch afraad jin ka body mass index ( jismani waza o qata ) 30 ziyada tha wo 25 se kam body mass index ke haamil 54.4 feesad afraad ki nisbat kamyaab ilaaj ke baad wapas ghar jaaney ke qabil hogaye they. Paris ke Pitie-Salpetriere hospital ke ICU mein mojood Dr Matthieu Schmidt ne broadcaster France 2 ko bataya ke France ke intahi nighdasht ke wards mein Motape ka shikaar ya ziyada wazan walay mareezoun ki bohat badi tadaad dekhi gayi. Jin ki ek tahai Mardoun par mushtamil thi.

 New York mein bhi sorat e haal kuch aisi hi thi. Brooklyn ke dawakhane ke Network Mount Sinai Health System mein Corona se mutasirah afraad ke ilaaj par mamoor surgeon Hani Sbitany ne kaha kay mein Emergency Room mein hon aur mein ye takhmeenah laga sakta hon ke mareezoun mein se 80 feesad Mard hain jo yahan laaye gaye hain. New York Times ko ek Interview mein unhoun ne kaha ke Corona se mutasirah 5 mareezoun mein se 4 mard hain.

Coronavirus se mard hi ziyada kyun mutasir ho rahay hain aur aisi kiya wajah hai ke is Virus se mard hi itni badi tadaad mein mutasir ho rahay hain. Is hawalay se mahireen ne kaha hai ke is ki wajohaat ke barey mein kuch bhi kehna abhi qabal az waqt hai. Taham kuch mahireen ne kaha hai ke is ki wajah ye nahi ke mard kamzor hain balkay aisa khawateen ki qowat mudafat ki mazbooti ki wajah se hai. France ke Toulouse University dawakhane mein wabai amraaz ke shoba ke sarbarah Pierre Delobel ne kaha hai ke khawateen mein pedaishi tor par qowat mudafat behtar hoti hai.

Bartania ke Warwick Medical School ki lecturer  aur Muawin Dr James Gill ne kaha hai ek khayaal ye bhi hai ke khawateen mein wabai amraaz se ladnay ki qowat mudafat behtar hoti hai. Doosri wajah ye bhi hai ke Mard apni sahet ka behtar andaaz mein khayaal nahi rakhtay. Wo Cigrette aur sharaab peetay hain aur Motape ka bhi shikaar hotay hain. –YTN STAFF