Cairo: Aqwame mutahidda insani haqooq ke daftar neh Misar ke sabiq President Mohammad Morsi ki adalat mein samaat ke douran honey wali mout ke waqhiyat ki fori aur mukammal tehqiqaat karwane ka mutalba kiya hai.
Sarkari Television Channel France 24 neh aqwama mutahidda ke insani haqooq ke mamlaat ke high commissionaire ke tarjuman report ko colville ke hawala se kaha hai hirasat mein kisi bhi hadsati mout ke baad aik khud mukhtaar idaara ki janib se mout ki wajohaat ko wazeh karne ke liye fori tor par, munsifana aur mukammal tor par shafaaf jaanch honi chahiye.
Colville neh Morsi ki mout ke theek aik din baad kaha Mohammed Morsi ki hirasat ki sharait ke barey mein khadshaat ka izhaar kiya gaya hai, jis mein na kafi tibbi dekh bhaal tak rasai shaamil hai. Sath hi sath taqreeban chay saal ki hirasat ke douran apne wukla aur rishtadaaron tak rasai par bhi tashweesh ka izhaar kiya gaya hai. Qabil ghor hai ke Morsi ki peer ko adalat mein samaat ke douran mout hogayi thi. Fouj neh saal 2013 mein baghaawat karkay inhen Iqtidaar se be dakhal kar diya tha aur un par jasoosi ke ilzaam they.
Adalat ki karwai ke douran woh behosh ho gaye aur un ki mout ho gayi. Woh 67 saal ke they aur un par jasoosi ke ilzaam mein muqadma chal raha tha. Morsi ko lohay ke pinjare mein adalat mein laya gaya tha aur adalat mein apna muaqqaf rakhney ke baad woh be hosh ho gaye. Misar ke sarkari wakeel neh kaha hai ke tibbi report mein un ke jism par kisi bhi terha ke chout ke nishaan nahi paye gaye hain. Morsi ke ohda sanbhalne ke aik saal baad inhen Iqtidaar se be dakhal kar diya gaya tha aur is ke baad intizamia neh un ke aur in ki tanzeem Muslim Brotherhood ke hamion ke khilaaf shikanja kasna shuru kiya tha. Mohammad Morsi par Falasteeni tanzeem Hammas ke sath mushtaba rabton aur jasoosi ke ilzaam mein dar-al-hakumat ki adalat mein samaat chal rahi thi.
Jail mein un ki halat ke silsila mein kaafi arsa se tashweesh zahir ki ja rahi thi. Guzishta saal October mein un ke sab se chhootey betay Abdullah neh kaha tha ke jail ke ohdedar un ke walid ko musalsal tanhai mein rakh rahay hain aur high blood pressure aur diabities jaisi sangeen bemariyan honay ke bawajood inhen ilaaj muhayya nahi karwaya ja raha hai. Abdullah neh paanch mah pehlay kaha tha ke misar ke ohdedar kuch is terha ki koshish kar rahay hain taakay un ki mout jald se jald ho jaye aur yeh qudrati wajohaat se honay wali mout nazar aeye.