Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderMorroco aur Israel mein bhi moahida hogaya

Morroco aur Israel mein bhi moahida hogaya

Jerusalem: Israel aur Morocco ne Amrici madad ke sath taluqaat ko mamool par laane par ittafaq kiya aur moahida karliya hai iske baad ab Morocco woh choutha arab mulk bana jis ne guzashta chaar mahino mein Israel ke sath dosti karli hai.

Muahiday ke ek hissay ke tor par Amrici sadar Donald Trump ne darina Amrici policy ko tabdeel kiya aur maghribi sahara par Morocco ki khudmukhtaari ko tasleem kiya. Maghribi sahara ek sahrayi khatta hai jahan kayi dahaiyo puranay ilaqai tanaza ne Morocco ko aljirya ke himayat Yafta polsario front ke khilaaf khada kardiya jo ek arsa se jari tehreek hai jo is ilaqay mein ek azad riyasat ke qiyam ki koshish kar rahi hai.

White House ne kaha MR Trump ne Morocco ke Shah Mohammad ke sath phone guftagu ke zareya is muahiday par mohar Sabt kardi. Jiske baad Trump ne tweet kiya ke aaj ek aur tareekhi paishraft! hamaray do azeem dost Israel aur Morocco ki hukoomaton ne poooray safarti taluqaat se mashriq wasti main aman ke liye ek badi kamyabi haasil karne par ittafaq kiya hai. . augst ke baad Morroco choutha mulk hai jis ne Israel ke sath taluqaat ko mamool par laane ke maqsad ke tehat muahiday par dastakhat kiya hai. is se qabal UAE, Bahrain aur Sudan Israel ke sath muahiday kar chukay hain. Is muahiday ke peechay ziyada tar maqsad Iran ke khilaaf mutahidda mahaaz ko paish karne aur is ke ilaqai assar wo rasookh ko khatam karna hai.

Doosri janib is muahiday ke baad falasteeniyoun mein narazgi payi jati hai. falasteeniyoun ne muahiday par tanqeed ki hai aur kaha ke arab mumulk ne ek darina mutalba ko tark karte hue aman ki raah ko chodh diya hai ke aur Israel ko tasleem karte hue usay Falasteeni riyasat ki zameen dey di hai. Muahiday ke tehat Morocco mukammal safarti taluqaat qaim karenge aur Israel ke sath bazabta raabtey dobarah shuru karenge aur tamam israeliyioun ke liye Israel jane aur raast parwazein karen ge. unhon ne apne sifaratkhane kholnay ke iraday se fori tor par Rabat aur tall abib mein apne rabita dafatir ko dobarah kholnay ja rahay hain. aur woh Israeli aur mrakshi companiyon ke mabain muashi taawun ko farogh dainay ja rahay hain.