Tuesday, May 14, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebMorocan Minister ko sehra mein zindah kyun dafan kya gaya?

Morocan Minister ko sehra mein zindah kyun dafan kya gaya?

Itwaar ke roz social media par gardish mein anay walay aik video clip mein Moroco ke wazeer tawanai wo madaniyat apne jism ko record darja hararat mein intahi garam rait ke andar dafan kiye hue nazar aa rahay hain. Morocan wazeer Aziz al Ribah ney malik ke junoob mashriqi qasba Mazruka mein ilaaj ki gharz se khud ko matti ke andar dabaya taa ke woh khud ko darpaish joron ke baaz amraaz se Shifa pa saken. mazkoorah sahrayi ilaqa garam rait ke zareya ilaaj ke hawalay se jana jata hai. video mein Morocan wazeer gardan taq qabar jaisay garhay mein madfoon nazar aa rahay hain, yeh garha khusoosi tor par un ke liye tayyar kya gaya tha. wazeer ke sir ko gole chhatri se saya faraham kya gaya. is terhan Aziz al Ribah rait ke ghusal se lutaf andoz hotay nazar aa rahay hain.