Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadMoohram aur Ganesh bandobast ki tayyariyan mukammal: CP

Moohram aur Ganesh bandobast ki tayyariyan mukammal: CP

Hyderabad. City Commissioner of Police Mr. Anjani Kumar Hyderabad ney aaj kaha ke shaher mein Moohram aur Ganesh aik saath waqay honay ki wajah se is martaba hamein bahut ziyada tayyariyan karni padi hain taham un do Programon ke bhi pur aman insram ko yaqini bananay na sirf bhaari Police jamiat ko tainaat kiya gaya hai. Dono shaharon mein iss martaba Hyderabad aur bairon e Hyderabad ki 14,000 Police jamiat tainaat hai. Mr. Anjani Kumar kumar ney aaj yahan akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe kaha ke mehakuma Police, GHMC deegar mahkuma jaat ke saath ishteraak karte huwe nuqaayes se pak intizamaat ko yakeeni bana raha hai. Unhon ne bataya ke mahkuma Police ke aala ohdedaron ne GHMC ke aala ohdedaron ke hamrah Ganesh juloos ke mabada Balapur taa visrarjan ke muqaam Hussainsagar jheel tak juloos guzarney ke tamam raaston ka muaayina o mushahida kiya. Mr. Anjani Kumar ney bataya ke is martaba Ganesh aur Moohram ek saath waqay honey ki wajah se South mein mukammal aur East Zone juzwi taur par Mohram ki sargarmian rahen gi iss liye hamari yeh koshish hai ke yeh dono juloos gudmud na honey paaye. Unhon ney bataya ke Murtiyon ke visarjan mein waqt ke zayan ke bachaney ke liye hum ne aik device ikhtiyar kiya hai jis ki madad se mortiyon ki visarjan mein sahoolat hogi aur waqt ki bachat hogi. Shehar ki sab se badi Ganesh moorti ‘Khairtabad Ganesh’ ke jald se jald visarjan ki koshish ki jarahi hai. Iss se pahlay visarjan ke dosray din raat ke waqt virsarjan huwa karta tha magar iss martaba hum iss ka visarjan jald karwana chahtay hain. Commissioner Police ney bataya ke har moorti ke sath Geo Tagging ki gayi hai jis se is moorti aur mandali se mutaliq tamam tafseelaat se aagahi haasil hojaye gi. Unhon ney bataya ke is technology ke zariye jo QR Code generate kiya gaya hai is ki scanning karte huwe hamaray officers apne cell phones par bhi tamaam tafseelaat haasil karlay saken ge.