Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsMonsoon Mein Takheer Se Telangana Mein 35 Feesad Kam Barish

Monsoon Mein Takheer Se Telangana Mein 35 Feesad Kam Barish

Hyderabad: Monsoon mein takheer aur mah-e-June mein kam barish ki wajah se telutgu riyastoun Telangana aur Andhra pradesh mein 40 feesad kam barish hui hai aur iska asr dono riyasatoun mein qeht saali ki shakal mein bhi zahir ho sakta hai. mehakma mosmiyat ke mutabiq Telangana mein mah June mein barish 35 feesad kam hui hai jabkay Andhra pradesh mein 40 feesad barish kam hui hai.

Dono riyasatoun mein kam barish ki wajah se riyasat ki kayi sargarmia mah June ke khatam hojane ke baad hi shuru hui hai jo kay tashweesh-naak hai. dono riyasatoun mein mojood kayi zakhair aab ki satah jo ke tashweesh-naak hadd tak neechay chali gayi thi is mein hunoz housla Afza izafah nahi hopaya hai.

Dono riyasatoun mein aam tor per Monsoon ki aamad June ke pehlay hafta mein hojati hai lekin is martaba Monsoon 21 June ko aaya jis ke baad se ibtidayi 12 din guzar jaaney ke bawajood dono riyasatoun mein khatir khwah barish nahi hui hai. alawa azeen dono riyasatoun se qareeb ek aur sarhadi riyasat Tamilnadu mein bhi sorat-e­-haal khushk saali jaisi hai aur Chennai mein pani ka bohraan awam ko pareshan kar raha hai. –YTN STAFF