Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadMohammed Azharuddin ke khilaaf dhoka dahi karne ke ilzaam mein muqadma kiya...

Mohammed Azharuddin ke khilaaf dhoka dahi karne ke ilzaam mein muqadma kiya gaya darj

Hyderabad: Hindustani Cricket Team ke sabiq captain aur sabiq rukan parliament Mohammad Azharuddin ke khilaaf Maharashra ke Aurangabad ki ek travels Agency” Danish Tours and Travels ke maalik ne ki janib se dhoka dahi ka muqadma darj kiya gaya hai.

Mohammad Azharuddin ne jumaraat ke roz Maharashra ke Danish Towars and Travels ke zareya un par lagaye gaye dhoka dahi ke ilzamaat ki tardeed ki hai aur muqadma darj karne waloun ke khilaaf 100 crore ka hattak izzat ka muqadma darj karne ki dhamki di hai.

Unhoun ne kaha ” jin logoun ne FIR darj kari hai, Unhoun ne sirf serkhyoun mein rehne ke liye aisa kiya hai. Azharuddin ne Twitter par ek video pegham mein kaha ke ”Yh ilzamaat be bunyaad hain.

Mohammad Azharuddin . Jo ab Hyderabad cricket Association ke sadar hain, Ne kaha ke wo jald hi apne wakeel se mashwara karen ge aur FIR darj karne waloun ke khilaaf 100 crore rupiye ke hattak izzat ka muqadma darj karen ge.

Aurangabad mein. Azharuddin aur 2 deegar afraad ke khilaaf charshumbe ke roz 21 lakh rupiye ki dhoka dahi ka ilzaam lagatay hue ek muqadma darj kiya gaya hai. Ye shikayat Jet Airways ke ek sabiq Executive, Danish Tours and Travels ke maalik 49 sala Shahab Y. Mohammed ne charshumbe ke roz darj ki thi. Unhoun ne kaha ke ”ham ne Mujeeb Khan ( Aurangabad ), Sudheesh Avikkal  ( Kerala ), Mohammad Azharuddin ( Hyderabad ) ke khilaaf FIR darj kara hai.

City Chowk police station ke tafteeshi afsar  A.D. Nagre ne bataya ke is silsila mein koi giraftari amal mein nahi aayi hai, Aur mazeed tafteesh jari hai. Shikayat kanandah ke mutabiq, 9 aur 12 November , 2019 ke darmain, Avikkal  ne kayi bain ul aqwami Airline ticket book kar wahi aur Azharuddin ke zaati secretary Mujeeb Khan ne ticket ke muawzay ada kar ne ka wada kiya.

Unhoun ne chunkay ko yi adaigi nahi ki gayi thi, Lehaza wo police mein shikayat darj karne par majaboor thay. Azharuddin aur deegar 2 afraad ke khilaaf tazeerat Hind ki dafaa 420, ( Dhoka Dahi ), 406 ( aetmaad ki khilaaf warzi ) aur 34 ( Aam iraday ) ke tehat muqadma darj kiya gaya hai. –YTN STAFF