Monday, April 29, 2024
HomeSliderMohammad Siraj qaumi tarane padhte waqt ro padhe

Mohammad Siraj qaumi tarane padhte waqt ro padhe

Sydney: Bain ul aqwami muqablon ke douran aksar dekha jata hai ke khiladi apne jazbaat par qaboo nahi rakh paate hain aur un ki aankhon se khushi aur gham ke annsoon jhalak jatay hain, aisa hi ek waqea Hindustan aur Australia ke darmiyan Sydney test ke aaghaz se khabl bhi dekhne kko mila jab Hyderabad se taluq rakhne wale hindustani fast bowler Mohammad Siraj qaumi taranah padhte waqt ro pade. Hindustan aur Australia ke darmiyan 4 muqablon ki border. gawaskar test series kheli jarahi hai jiska aaj sydney mein teesra test shuru hua. Muqablay ke aaghaz se qabal dono teamon ke qaumi taranah padhay jatay hain aur aaj subah bhi jab Hindustan  ka qaumi taranah padha ja raha tha tab Mohammad Siraj ki aankhi num hogayi theen aur camera par unke annso saaf dikhayi derahe the.

Mohammad Siraj ke annsoon ponchte manazair ko camera ne qaid karliya aur dekhte hain dekhte yeh video viral hogaya. Video mein dekha ja sakta hai ke kis tarhan Mohammad siraj dono hathon se ansoo ponch rahay hain jabkay unke baazu mojood saathi fast bowler Jasprith Bumrah un se kuch keh rahay hain. Is video ne Mohammad Siraj ki hub-ul-watni aur cricket se junoon ki had tak mohabbat ko zahir kardiya hai. Yaad rahay ke Mohammad Siraj ke waalid ka khawab tha ke inka beta test mein Hindustan ki numaindagi kare jo boxing day test mein poora hau lekin woh manazair dekhnay ke liye unke waalid is duniya mein nahi rahay kyunkin haliya dinoun may unka intqaal hua aur corona ke qawaid ki wajah se Mohammad Siraj apne waalid ke aakhri deedar se mahroom rahay.

Waalid se mahroom honay walay Siraj ne Australia ke khilaaf boxing day test se apne career ka aaghaz kiya aur pehlay hi test mein 5 wicketon ka karnaama anjaam dete hue unhon ne test cricket mein apni salahiyaton ke ibtidayi overs mein hi unhon ne hareef team ke khatarnaak batsman david warner ko sastay mein nimta diya.