Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderMohammad Siraj ke sath shaiqeen ka bartao na qabil-e-bardasht

Mohammad Siraj ke sath shaiqeen ka bartao na qabil-e-bardasht

Hyderabad: Nasli ziyad-ti ka bad-soorat chehra phir sir uthane laga hai aur is martaba Hyderabad ke fast bowler Mohammad Siraj ko Sydney test ke douran maidan mein fiqray baazi ka nishana banaya gaya.

Hindustan aur Australia ke mabain teesray cricket test ke musalsal dosray din bhi hindustani khiladion khusoosan Hyderabad ke fast bowler Mohammed Siraj ko sydney cricket ground (SSG) mein shaiqeen se nasli zyad-ti ka saamna karna pada.

Taham is martaba is ne tufaan ko cheda hai jiske baad Hindustani captain virat kohli is waqeye ke khilaaf sakhti se samnay aaye hain. Kohli ne Tweet kiya aur kaha ke nasli zayad-ti bilkul na-qabil-e-qubool hai. Boundary par hone wala intehai afsoosnaak hai aur yeh be raah rawi ka urooj hai. maidan mein aisa hota dekh kar afsos hua.

Kohli ne mazeed kaha waqea ko mukammal hungami aur sanjeedgi ke sath dekhnay ki zaroorat hai aur mujrimon ke khilaaf sakht karwai se mamlaat ko ek baar barah-e-raast tay karna chahiye.

Yaad rahay ke Siraj aur Bumrah ne hafta ko shaiqeen ki janib se nasli zyad-ti ki shikayat ki thi aur jiske baad aglay din Hyderabad ke fast bowler Mohammad Siraj ko hujum ke ek hissay ne nasli tor par sulooki ki j par rahay thay.

Siraj ne foran umpires se shikayat ki aur aath minute se ziyada ke liye khel rok diya gaya tha. Umpires ne security guards ki madad se 6 afraad ko stadium se bahar kardiya. Hindustani cricket team ne ICC match refree David ko mobayyana nasli zayad-ti se aagah kiya tha. Bain ul aqwami cricket council (ICC) ne ek bayan mein kaha ke chouthay roz match aur stadium ke ohdedar chokas thay aur is tarhan khail ko rok diya gaya tha aur 6 se qabal waqea ke baad 6 afraad ko maidan se bahar bhej diya gaya.