Thursday, May 16, 2024
HomeSliderMohammad Shami Ko Semi Final Mein Shaamil Na Karne Par Tanqeed

Mohammad Shami Ko Semi Final Mein Shaamil Na Karne Par Tanqeed

Manchester: Hindustani cricket team ke captain Virat kohli ne ICC world cup mein Newzealand ke khilaaf Semifinal ke liye shandaar form mein moujood fast bowler Mohammad Shami ko team se bahar rakhnay ka haeran kan faisla kiya jis ke baarey mein social media par kaafi sawalaat utthay gaye hain.

Manchester ke old traford mein Hindustan aur Newzealand ke pehlay Semifinal match mein kohli ne aakhri eleven mein sirf ek tabdeeli karte hue bowler Kuldeep Yadav ki jagah Yuzvendra chahal ko utaara, lekin shandaar form mein khel rahay fast bowler Shami ko is match ke liye bahar rakha gaya jo mayoos kan faisla raha.

Match se pehlay tak Shami ke aakhri eleven mein khelne ki poori umeed thi lekin team managment aur Captain kohli ne Bhuvneshwar ko team mein barqarar rakha. Bhuvneshwar Srilanka ke khilaaf guzashta match mein khailay they jabkay Shami guzashta match mein team mein shaamil nahi they. yeh faisla haeran kan raha kyunkay group marhaly mein Shami ne sirf chaar hi matchon mein khud ko saabit karte hue 5.48 ke ost se 14 wicket haasil kiye they aur team ke dosray sab se ziyada kamyaab bowler rahay. unse agay Jasprith Bumrah rahay jin ke is match se pehlay taq aath group matchon mein 17 wicket theen.

29 sala Shami isi ke sath world cup mein Hatrick llene walay bhi sirf dosray hindustani bowler banay. unse pehlay sirf Chetan sharmaa ke naam yeh kamyabi darj thi. Shami ne Afghanistan ke khilaaf mushkil match mein aakhri over mein bowling karte hue Hatrick li thi jabkay England ke khilaaf unhon ne paanch wicket liye they.

Shami ko bahar rakhnay par social media per garam behas chal rahi hai ke aisay khiladi ko kis tarhan bahar rakha ja sakta hai jabkay is ne musalsal achi karkardagi di hai. Shami ne Bangladesh ke khilaaf mein 68 run day kar ek wicket liya tha jabkay Bhuvneshwar ne Srilanka ke khilaaf guzashta match mein 73 runs lautakar ek wicket li. social media par isi farq ki bunyaad par sawal uth rahay hain ke aakhir dono bowlers mein itna farq hai to phir aakhri intikhab mein Shami nazar andaz kaisay ho gaye. –YTN STAFF