Kolkata: Hindustani cricket team ke senior fast bowler Mohammad Shami ki ibteda may America visa darkhwast mustard kar di gayi thi jiske baad BCCI nay is muamlay mein America embassy se rujoo hotay hue muamlay ko nah sirf khatam kiya balkay apne fast bowler ke liye visa bhi haasil karliya.
BCCI zaraye ke mutabiq Mohammad Shami ki visa ke liye ibteda may darkhwast is liye mustard kar di gayi thi kyunkay police mein unke khilaaf biwi Haseen jahan ki shikayat darj hai. police record ki wajah se Mohammad Shami ko visa nahi diya ja raha tha jis ke baad BCCI nay America sifarat khana se rujoo hotay hue Mohammad Shami ki himayat ki aur hindustani cricket team ke liye un ki khidmaat ka tazkara bhi kiya aur karnamon ke records ke alawa police mein mojood shikayat ki noiyat ka record bhi faraham kiya jiske baad Mohammad Shami ko America ka visa mila.
Hindustani khiladion ko America visay is liye haasil kiye jarahay hain kyunkay west indies ke khilaaf 3 twenty 20 muqablon ki series ke ibtidayi do matchers America mein khailay jarahay hain. America douray ke liye hindustani khiladion ko P1 zumray ke tehat visay jari kiye gaye hain jo darasal khiladion ki berooni team ka Zumra hai. BCCI ke ek ohdedar nay apni shanakht posheeda rakhnay ki shart par kaha ke ibtida mein Mohammad Shami ki darkhwast mustard kar di gayi thi kyunkay unke khilaaf police ka touseeq nama na mukammal tha lekin matlooba dastawizaat faraham karne ke baad yeh masla hal kiya gaya hai.
Jab Mohammad Shami ki darkhwast mustard kardi gayi to BCCI ke CEO Rahul johri nay ek maktoob jo darkhwast ki noiyat ka tha tehreer karte hue is mein nah sirf Mohammad Shami ke karnamon balkay America ke unke doura ki wajah bhi batayi. yaad rahay 2018 ki ibteda may Mohammad Shami ke khilaaf un ki ahliya Haseen jahan nay gharelo tashadud ke alawa unpar deegar khawateen se taluqaat ki shikayat karte hue Calcutta police mein muqadma darj kiya tha jabkay Calcutta ki ek adalat mein Talaq ka ek muqadma bhi zair-e-dowran hai. -YTN STAFF