Monday, May 20, 2024
HomeIndiaMohammad Shami chowthi inning ke khatarnaak bowler, 23 sala purana record todh...

Mohammad Shami chowthi inning ke khatarnaak bowler, 23 sala purana record todh diya

New Delhi: Hindustani fast bowler Mohammad Shami doosri inning mein ziyada khatarnaak hojatay hain aur iska saboot unhon ney ek martaba phir diya hai. Shami nay vishakhapatnam mein south Africa ke khilaaf pehlay Test ke panchwin aur aakhri din 35 runs par paanch wicket lekar hindustan ko 203 runs se kamyabi dilwai. Shami ko pehli inning mein koi wicket haasil nahi hui tha lekin Shami ki doosri inning ki khatarnaak bowling ke sabab south africi team doosri inning mein mehez 191 runs par simat gayi.

Guzashta 23 barsoun mein yeh pehla mauqa hai jab kisi hindustani fast bowler nay gharelo Test ki chowthi inning mein 5 wicket haasil kiye hain. is se pehlay 1996 mein jogal sri nath nay Ahmedabad mein south Africa ke khilaaf chowthi inning mein 5 wicket liye they. is fehrist mein deegar hindustani fast bowlers, Kapil dev aur madan laal hain. saal 2018 ke baad se Shami doosri inning mein 3 martaba paanch wicket le chuke hain jo kisi bowler ke liye sab se ziyada hai. woh 15 martaba doosri inning mein 17.70 ki ousat se 40 wicket haasil kar chuke hain. iske muqablay se qabal unhon nay 16 martaba pehli inning mein unhon nay 37.56 ke osat se sirf 23 wicket liye hain aur pehli inning mein unki behtareen karkardagi 64 runs par 3 wicket rahi hai.

Hindustani captain Virat kohli nay Shami ki tareef karte hue kaha kay Shami hamaray liye doosri inning mein musalsal strike bowler rahay hain. agar aap unke chaar paanch wicket ki karkardagi ko dekhen to woh sab ke sab doosri inning mein aaye hain jab team ko wicketon ki ashad zaroorat hoti hai aur agar gend thoda bhi reverse horahi hai to Shami khatarnaak hojatay hain. Shami nay apne captain ki tareef karte hue kaha ke kohli bowlers ki is baat ki azaadi dete hain ke unka spell kitna lamba rahayga. Shami nay Kaha kohli ko captain ke tor par hamesha hamari battay suntay hain aur is ke alawa hamein is baat ki azaadi dete hain ke hum apni hikmat-e-amli par kaam karen. woh hamein is baat ki azaadi dete hain ke hum apne spell mein paanch, saat ya is se ziyada overs ki bowling kar saken. woh hamaray oopar inhisaar karte hain aur hamein un par poora bharosa hai. –YTN STAFF