Sunday, May 19, 2024
HomeOthersPublic InterestMohammad Rafi Ek Faqeer Ki Wajah Se Glokaari Ke Badshah Baney

Mohammad Rafi Ek Faqeer Ki Wajah Se Glokaari Ke Badshah Baney

1980 July Ko Inhen Dil Ka Doura Padha Aur Woh Is Duniya Se Rukhsat Hogaye

Mumbai : Bollywood mein har kisi ko mutasir karne walay geetoun ko apni jadu bhari aawaz dene walay be taj badshah Mohammad Rafi ko glokaari ki tehreek ek faqeer se mili thi. Punjab ke kotla Sultan singh gaoun mein 24 decemeber 1924 ko ek Mutwast khandan mein paeda hue Mohammad Rafi ek faqeer ke naghmoun ko suna karte they, jisse unke dil mein moseeqi ke tain ek lagao paida hua tha.

Rafi ke bade bhai Hamid ne Mohammad Rafi ke dil mein moseeqi ke tain rujhan dekh lia tha aur inhen is raah par agay badhaane mein unki hosla afzai ki. Lahore mein Rafi moseeqi ki taleem ustaad Abdul wahed Khan se lainay lagey aur sath hi unhon ne ghulam Ali Khan se classical moseeqi bhi sekhne shuru ki. ek martaba Hamid Rafi ko le kar K. L. Saigal ke mouseeqi programme mein gay, lekin barqi sarbarahi nah honay ki wajah se K. L. Saigal ne ganay se inkar kardiya. Hamid ne programme ke Convener se guzarish ki ke woh unke bhai ko programme mein ganay ka mauqa den. Convener ke raazi honay par Rafi ne pehli martaba 13 saal ki Umar mein apna pehla naghma stage par paish kiya. shaiqeen ke darmiyan baithe mosiqaar shyam sundar ko unka naghma pasand aaya aur unhon ne Rafi ko Mumbai anay ki dawat di.

Shyam sunder ki moseeqi ki hidaayat mein Rafi ne apna pehla gana soniye hireye ni, zeenat begum ke sath ek punjabi film Gul blu ho chuke liye gaaya. saal 1944 mein Noshad ki moseeqi mein unhon ne apna pehla hindi gana Hindustan ke hum hain film pehlay aap ke liye gaaya. saal 1949 mein Noshad ki moseeqi ki hidaayat mein film dilari mein gaaye ganay suhani raat dhal chuki ke zariye un par kamyabi ke darwazay khul gay. Dilip Kumar, Dev aanand, Shami Kapoor , Rajnedar kumar, Shashi Kapoor , Rajkumar jaise naamwar hero ki aawaz kahe jaaney walay Rafi ne apne taweel career mein taqreeban 700 filmoun ke liye 26000 se bhi ziyada ganay gaaye.

Mohammad Rafi film industry mein apni khush mizaji ke liye jaaney jatay they, lekin ek martaba unki Mashoor glokara Lata mangeshkar ke sath an ban hogayi. unhon ne Lata mangeshkar ke sath senkdon ganay gaaye they lekin ek waqt aisa bhi aaya tha jab Rafi ne unse baat cheet tak karni bandkr di thi. Lata mangeshkar ganoun par reality ki haami theen jabkay Rafi ne kabhi bhi reality ka mutalba nahi kya.

Rafi sahib ka khayaal tha ke ek martaba jab film sazoon ne ganay ke pesey day diye to phir reality ka koi matlab nahi. dono ke darmain tanaza itna badha ke  Mohammad Rafi aur Lata mangeshkar ke darmiyan baat cheet bhi band hogayi aur dono ne ek sath gana ganay se inkar kardiya, taham 4 saal ke baad adakara nargis ki koshish se dono ne ek sath ek programme mein dil pukare gana gaaya.

Mohammad Rafi ne hindi filmon ke alawa marathi aur telugu filmon ke liye bhi ganay gaaye. Mohammad Rafi ko apne career mein 6 martaba filmfare award se aur 1965 mein padmashree award se bhi nawazagaya. Rafi adakar Amitabh bachchan ke bohat badey purastaar they jabkay inhen filme dekhnay ka shouq nahi tha lekin kabhi kabhi woh film dekh liya karte they. ek martaba unhon ne Amitabh bachchan ki film deewar dekhi thi. is ke baad hi woh amitabh ke bohat badey fan bangay. saal 1980 mein aayi film naseeb mein Rafi sahib ko Amitabh ke sath chal chal mere bhai gana ganay ka mauqa mila, Amitabh ke sath is ganay ko ganay ke baad woh bohat khush hue they. Amitabh ke alawa inhen shami Kapoor aur dharmendar ki filme bhi bohat pasand aati then. inhen Amitabh . dharmindar ki film sholay bohat be had pasand thi aur unhon ne usay teen martaba dekha tha.

30 July 1980 ko film aas paas ke ganay shaam kyun udaas hai dost mukammal karne ke baad jab Rafi ne laxmi kaant pyare laal se kaha’ kya mein ja sakta hon?’ jisay sun kar woh haeran hogaye, kyunkay is se pehlay Rafi ne unse kabhi is tarhan ijazat nahi mangi thi. aglay din 31 july 1980ko inhen dil ka doura pada aur woh is duniya se rukhsat hogaye. –YTN STAFF