Sunday, April 20, 2025
HomeSliderMohammad Bin Salman Tel hamla ki aalmi tehqiqaat ke khwaahan

Mohammad Bin Salman Tel hamla ki aalmi tehqiqaat ke khwaahan

Riyadh : Mohammad Bin Salman al saud ne petroleum refinery mein hue drone hamlay ki bain ul aqwami tahaqeeq karwanay ki khwahish zahir ki hai. unhon neh kaha ke bain ul aqwami tafteesh ka maqsad Saudi arab ki janib se wazay kiye gaye tareeq-car se aalmi baradri ka etemaad bahaal karna hai.

Saudi press agency ke mutabiq phone par baat cheet ke douran roos ke saddar Vladmir putin neh hamla ke baray mein pata laganay ke liye bain ul aqwami tehqiqaat mein taawun dainay ki khwahish zahir ki hai.

Sadar Putin neh iqtisadi bunyadi dhanchay par hamlay ki sakht muzammat ki. dono mulk ke darmiyan duniya ki marketoun mein petroleum ki sarbarahi mein rukawat nah ho is par baat cheet hui.

Saudi arab neh hamlon ke liye istemaal kiye gaye hathyaar Iran ke honay ko lekar is mein mulawis honay ka ilzaam lagaya hai. America ke wazeer kharja Miike pompeo aur Mohammed Bin Salman ke darmiyan hui mulaqaat mein dono rehnumao neh Saudi arab mein petroleum par honay walay drone hamlay ke liye Iran ko zimmedaar tehrayahe. wizarat kharja ke tarjuman Morgan neh bayan jari kar is ki ittiladi.

Unhoun ne kaha ke Pompeo ne Saudi walii ehad se aaj mulaqaat ki. unhon ne kaha dono rehnumao ke darmiyan mulaqaat ke douran irani hukoomat ke rawayya aur is ki wajah se peda honay walay khatraat ko dekhte hue bain ul aqwami baradri ke sath anay ki zaroorat par tabadlah khayaal kiya.

America aur Saudi arab neh guzashta hafta drone hamla ke liye Iran ko zimmedaar thehraya. Yemen ke Housi baghion neh agarchay is hamla ki zimmedaari qubool ki hai. Qabil-e-zikar hai ke Iran ne America ke ilzamat ko mustard kardiya tha. Pompeo aur salman ke darmiyan is baat par bhi ittafaq hawa keh Saudi arab mein hamla is liye bhi kya gaya kyunkay yahan Amrici shehri rehtay hain aur kaam karte hain.

Is se pehlay America ke sadar Donald trump neh is hamla ke baad Iran par iqtisadi pabandion ko aur badhaane ka hukum diya tha. –YTN STAFF