Saturday, May 18, 2024
HomeSliderMohammad Amir Hindustan ke khilaaf bhi behtar bowling ke liye pur-azm

Mohammad Amir Hindustan ke khilaaf bhi behtar bowling ke liye pur-azm

London : Australia kay khilaaf shandaar bowling karne walay Pakistani fast bowler Mohammad Aamir ne Hindustan ke khilaaf bhi behtar muzahira ki umeed zahir ki hai. ek interview ke douran Amir ne  kaha ke mega event ke douran har match hamaray liye ahem hai, dabao hota hai taham kohli ki team ke khilaaf match ko aam match ki tarhan khelinge, riwayati hareef ko shikast dainay ke liye misbet-e-soch ke sath maidan mein utringe. event mein 10 wicketon ke sath Sehr-e-fehrist bowler Mohammad Amir ne  kaha ke event ke douran ab hamein har match jeetna hai is ke liye hum bhar pur koshish karingay. hum Hindustan ko har haal mein match harayinge, batting se bohat tawaquaat hain, hum aasabi lehaaz se mazboot aur fatah hamara muqaddar hogi. koshish karoonga ke Hindustan kay khilaaf achi bowling ka tasalsul jari rakhu .

Australia se match harnay par unhon ne  kaha ke hum match jeet sakte they taham toss ke baad pehlay das overs mein runs bangaye agar hum un overs mein hareef team ke ek do wickten le letay to 300 runs na ban paate. wickten lainay par khushi hai taham match jeet jatay to ziyada khushi mehsoos karte lekin khail mein kisi ek ko shikast hoti hai. Mohammad Amir ne mazid kaha ke mujh per behtar muzahiray ka bohat dabao tha kyunkay world cup mein anay se qabal 14 matchoun mein sirf 5 wickten li theen jis ki wajah se har taraf se mujh par tanqeed ho rahi thi. jab aap shuruvaat mein bowling karne walay bowler hotay hain to hamesha dabao hota hai .

Mai world cup mein shirkat ke hawalay se par umeed tha, yaqeen tha ke jab mujhe mauqa mila to mega event mein zaroor karkardagi dikhaoga. apni bowling mein same ke hawalay se kaha ke 2009 may coca bora gaind tabdeel ho gayi thi jiski wajah se fast Bowlers ke liye seam thoda mushkil hota hai, paanch saal ke waqfay ke baad jab mein wapas aaya to musalsal do saal cricket kheli is douran gaind swing hui taham waqt guzarnay ke baad bowling ka miyaar neechay gira aur kuch mamooli zakhamo ne  bhi pareshan kiya. mega event ke douran jab mujhe team mein shaamil kiya gaya to pehlay hi match mein gaind ko line and lenght par kiya jis se mujhe jaldi wickten milein aur is douran gaind swing bhi ho rahi thi, -YTN STAFF