Friday, May 3, 2024
HomeSliderMohammad Ali Shabbir ne KCR ko, Telangana mein iqtisadi bohraan ka zimmedaar...

Mohammad Ali Shabbir ne KCR ko, Telangana mein iqtisadi bohraan ka zimmedaar tehraya

Hyderabad : Congress ke senior rehnuma Mohammad Ali Shabbir ne itwaar ko riyasat Telangana mein muashi bohraan par der se apna radd-e-amal zahir karne par reyasti wazeer-e-aala K.Chandrashekhar Rao ko tanqeed ka nishana banaya. Itwaar ke roz media ko diye gaye bayan mein Shabir Ali ne kaha ke ”Yeh badi haerat ki baat hai ke wazeer-e-aala ne Rawan maali saal mein 8 mah ki takmeel ke baad muashi sust rawi ke asraat ke baray mein ghor kiya.

”Jab poori duniya muashi badhaali ke baray mein baat kar rahi thi, tab wazeer-e-aala is talluq se jhutay daaway kar rahay they. Aakhir-car, is saal September mein, reyasti hukoomat ne 2019-20 ke liye ek mukammal budget pesh kiya, jis mein akhrajaat mein 30 feesad se ziyada ka takhfeef hua.

Unhon ne kaha ke ”Is saal 22 fir wari ko pesh kardah 182, 017 crore account budget ke muqablay mein, poora budget 146, 492 crore rupiye ka tha, jis mein reyasti hukoomat ne salana akhrajaat mein 35, 525 crore rupiye ki kami ki ”unhoun ne kaha, ab ye 1.46 laakh crore rupaye kharch karne ki position mein nahi hai.

Shabbir Ali ne hindustan ke controller aur auditor general ( SAG ) ke ghair sarkari arzi adaad wo shumaar ka hawala dete hue kaha ke taxon ke takhmine ke mutabiq 5 arab rupiye tax lagaye gaye hain. unhon ne kaha ke KCR hukoomat mukhtalif wasail se kharz lainay aur riyasat ko kharz ke jaal mein dhakel rahi hai. unhon ne kaha ke is saal April taa october ke douran, reyasti hukoomat ne 17, 500 crore rupaye kharzz liya hai.

Congress rehnuma ne kaha ke ”wazeer-e-aala ne Telangana ko ek Ameer riyasat qarar day kar ghair munsifana tor par nuqsaan pohanchaya hai. aisa karkay unhon ne riyasat ko mukhtalif markazi funds se mehroom kardiya hai. unhon ne kaha ke KCR ko maali soorat-e-hal par radd-e-amal zahir karne mein bohat der ho chuki hai.

Congress qaied Shabir Ali ne KCR ko mashwara diya ke woh is muamlay par wazeer-e-aaazm Narendra modi se mulaqaat ke liye ek kul jamati wafad ko Dehli le jayen.

Unhon ne kaha ”ye koi taajjub ki baat nahi hai ke wazeere-e-aala maali mamlaat par jaiza ijlaas munaqqid karte hain aur is mein riyasat ke wazeer-e-khazana ko bhi shaamil nahi kya jata. unhon ne tamam mehakmon ke khrajat kam karne ke wazeer-e-aala ke faislay ka bhi khaer maqdam kiya. aur kaha ke, KCR ko apne zaati akhrajaat kam kar ke is ki shuruvaat karni chahiye. jab tak maali sorat-e-haal behtar nah ho is waqt tak inhen chartrd prwazon aur helicopters mein safar karna band kar na chahiye. aur KCR ko apni shahana tarz zindagi chodh kar ek missal qaim karna chahiye. Shabir Ali ne wazeer aala ko yeh bhi mashwara diya ke wo opposition se nafrat na karen.

Shabir Ali ne kaha ke’ KCR ab badey intikhabi wadon par amal Dar aamad mein takheer ke liye muashi sust rawi ka ilzaam laga rahay heen. unhon ne kaha ke taqreeban 50% kisanon ko Rythu Bandhu ki raqam nahi mili hai. Be-rozgaar noujawanoun ko ab bhi 5 laakh rupaye ke bhate ka intzaar hai. –YTN STAFF