New Delhi: Chamakta o Roshan, tareekhi o mohabbat ki be misaal yadgar Taj Mahal jo apni khoubsurti se nazreen ko garweedah banata hai. Ab is yadgar taaj mehal ko tamam sayaho ke liye din ke ilawa ghuroob aftaab ke baad khula rakha ja ye ga. Ab tak aalmi satah par mashhoor yadgar imarat ko aik mahinay mein sirf paanch raton ke liye khula rakhnay ki ijazat thi.
Union Tourism and Culture Minister Prahlad Singh Patel ney aik interview mein bataya ke Taj Mahal awam ke liye subah 10.00 bujey se 6.00 bujey tak khula rahay ga. Unhon ney kaha ke hamein raat ke auqaat mein Taj Mahal ko khula rakhnay ke liye bohat si darkhwasten masool ho rahi hain. Aur hum is yadgar ko shaam ke auqaat mein khula rakhnay ke liye khushi se sarshar hain.
Wizarat sayahat bhi is yadgar ke aas paas ke ilaqon ko roshan karne ke liye Infratechture tayyar karne ka mansoobah bana rahi hai. Taj Mahal ko aik din mein 22,000 zaireen dekhte hain, jis ki salana tadaad lakhoon mein hai.
Hukoomat ney Hindustan bhar mein das mashhoor yadgaron ke auqaat ko barha kar tulu aftaab se 9 bujey shab taq karne ka faisla kiya hai. Un das yadgaron mein, Raja Rani Temple Complex (Odhisha), Dulah Dev Temple, Khajuraho (Madhyra Pradesh), Sheikh Chilli ka maqbarah (Haryana), Safdar Jung Maqbarah (Haryana), Humayun ka maqbarah (Delhi), Pitadatal aur Gole Gunbadh (Dono Karnataka), shaamil hain. Aur Mandiroon mein Markonda, Chamurasi (Maharashtra), Maan Mehal, Vedshala (Uttar Pradesh) aur Rani ki Wao (Gujrat) shaamil hain.