Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsMoeen Ali Ki Nazre Kohli Ko Out Karne Par Markooz

Moeen Ali Ki Nazre Kohli Ko Out Karne Par Markooz

Birmingham: English cricket team ke all rounder Moeen Ali ne kal Hindustan ke khilaaf khele jaanay walay ahem muqablay mein sab se qeemti wicket Virat kohli par nazre markooz karli hain. kohli jinhoun ne Afghanistan aur west indies ke khilaaf ibtidayi wicketon ke nuqsaan ke baad team ko sahara dainay wali zimma daarana nisf centuria score ki hain.

Moeen Ali jo ke kohli ki Zair-e-qiyadat RCB ki numaindagi kar chukay hain, unhon ne –apne mazmoon mein likha hai ke hum jantay hain ke Virat kohli yahan Hindustan ke liye runs bananay aaye hain aur mein english team mein kuch runs score karne ke alawa kohli ko out karne moujood hon. Moeen Ali ne mazeed kaha ke woh kohli ki wicket haasil karna chahtay hain lekin is ke bawajood woh achay dost bhi hain.

Unhon ne mazeed kaha ke hum ek dosray ko under 19 ke daur se jantay hain lekin RCB ke liye kuch chand barsoun mein khailnay ke douran mein aur kohli kaafi achay dost ban chuke hain. England jo kay Australia aur Srilanka ke khilaaf ek ke baad deegray nakamiyoo se pareshan hai aur usay Hindustan ke khilaaf muqablay mein kamyabi haasil karne ke baad Newzealand ke khilaaf kamyabi haasil karni hogi. team ke liye mojood mushkil tareen halaat ke zimn mein Moeen Ali ne likha ke Hindustan aur newzealand ke khilaaf aakhri marhalay ke muqablay hamaray liye darne ka samaan nahi balkay mauqa hai ke hum apni salahiyaton ko zahir karte hue khitaab ki davidari ko mazeed mazboot karen.

England halaanke maizban team hai, lekin Moeen Ali ka maanna hai ke Birmingham mein dabao hindustani team par hoga. England jis ne aakhri martaba yahan kheli gayi bahami series mein Hindustan ko 2-1 se shikast di hai, jis mein is ne Kuldeep yadav aur Yuzvendra chahal ke khilaaf mutasirakn muzahira kiya tha, is zimn mein Moeen Ali ne kaha ke chahal aur Kuldeep ki jodi Hindustan ki spin shoba ki taaqat hai, lekin guzashta baras hum unke khilaaf behtar muzahira karne mein kamyaab hue they aur isi misbet zehen ke sath hum unke khilaaf khelainge aur unki bowling ke khilaaf miyaar ke mutabiq muzahira karenge. –YTN STAFF