Thursday, May 9, 2024
HomeSliderMoeen Ali ki Hindustan mein 200 wicketon par nazar

Moeen Ali ki Hindustan mein 200 wicketon par nazar

Chennai : English team ke all rounder Moeen Ali ne 18 mah qabal apna aakhri test khela tha lekin is martaba Hindustan ke khilaaf 5 feb ko shuru honay wali 4 test muqablon ki series mein woh behtareen muzahiron ke alawa test cricket mein 200 wickten haasil karne ka karnaama bhi anjaam dena chahtay hain.

18 mah qabal Moeen Ali ne Chennai mein hi apni 5 test centuries mein se ek century score ki thi jahan unhon ne 146 runs ki shandaar ining kheli thi jis ke bawajood Hindustan ne 2016 ki iss series mein 4-0 ki kamyabi haasil ki thi.

Hindustan ke khilaaf mujawaza series ke zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue Moeen Ali ne kaha kay woh Hindustan ke khilaaf rawan haftay shuru honay wali series mein behtar muzahira ke alawa 200 wickten haasil karne ka karnaama bhi anjaam dena chahtay hain.

Moeen Ali ke naam is waqt 181 test wickten darj hain aur woh 200 wicketon ka nishana uboor karne se 19 wickten door hain. Hindustan ke khilaaf Chennai mein 2 aur ahmedabad mein 2 test muqablay khailay jayenge aur inn 4 test muqablon mein 200 wicketon ka nishana uboor karne ke liye Moeen Ali ko har inning mein 2 se zayed wickten haasil karni hogi. Moeen Ali jo kay dora Srilanka par bhi english team ka hissa thay lekin corona se mutasir honay ki wajah se unhein 13 dinon ka qarantina guzaarna pada aur woh apni team ki 2-0 ki kamyabi ka nazarah tanhai mein hi karpaye hain.

Online mulaqaat mein izhaar-e-khayaal karte hue Moeen Ali ne kaha kay sehat yabi ke baad mein iss waqt behtar muzahira ke liye pur azam hon kyun ke corona ki wajah se mujhe team se bahar hona pada lekin mein ne isay misbet andaaz se letay hue team ki kamyabi se lutf andoz hua hon. Unhon ne mazeed kaha kay jo cricket mein nahi khail saka lekin ab mujhe umeed hai ke mein Hindustan ke khilaaf mazeed behtar muzahira karsaktha hoon.

Moeen Ali ne mazeed kaha kay iss douran mein ne jo seekha hai uss mein khaas kar test cricket mein aap ko apni bowling aur batting mein behtareen muzahira karna hota hai aur sath hi taweel tarz ki cricket bhi taknik bhi ahmiyat ki haamil hojati hai. Moeen Ali ke mutabiq mehdood overs ki cricket mein sad feesad muzahira nah bhi ho to nataij haasil kiye jasaktay hain lekin test cricket mein aap ko miyaar ki bulandi se muzahira karna hota hai.

Srilanka ke khilaaf Moeen Ali ki Adam mojoodgi mein dom bees aur jack lich ne pehlay test mein apni behtareen bowling nah karne ke bawajood 5 wickten haasil ki theen aur umeed hai ke ab Hindustan ke khilaaf Moeen Ali ki wapsi se english team apne spin bowling shoba ko mazboot karne ka khwahan hai. Moeen Ali ne kaha kay Srilanka mein mazkoorah dono spinners ne behtar muzahira kiya hai aur Hindustan ke khilaaf inn muzahiron se inn ke hauslay buland honge. yaad rahay ke Hindustan ke khilaaf Moeen Ali ke muzahirey behtar hi rahay hain jis mein 2016 ke doray par unhon ne Man of the match muzahira karte hue test ko draw karne mein ahem rule ada kya tha.